Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abhi zinda hai hussain

Shadman Raza · 2016

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Mat badho janibe khaimaChur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainIsmato aayaye tatheer ke rakwale haiHurmate khanaye kaaba ye haram waale hai(Jhal na jaaye koi khaima)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainDar pe khaime ke hai hamsheer meri mazlumaMere khaime me sakina hai meri masooma(Us taraf jaane na dega)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainLuthane ke liye khaimo ki taraf wo jaateDekh sakta nahi beti ko tamache khate(Shimr aage nahi badhna)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainTumne abbas ke bi kaat diye the baazuMeri aaghosh me cheda mere asghar ka gulu(Kehne ke ye shah ne roka)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainMere chehre pe hai asghar ke lahu ki surkhiMere seene me hai akbar ke jigar ki barchi(Tukde qasim hai laasha)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainAkhari saans hai ay zalimo me ghalib huMe Hussain ibne ali ibne abi talib hu(Azm zakhmo se na tuta)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainTum jo badhte ho udar mujhko jalal aata haiYa ali ye meri ghairat ka sawal aata hai(Aage badhne nahi dega)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainTeer pebast the me pushte faraz se jo giraMe gasith tha hua khaimo ki taraf hu badhta(Beh gaya khoon ka dariya)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainHai yateem usme hi sehmi hui kuch maae haiBain karti hui khaime me ye bewaaye hai(Bibiyo ka hai sahara)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai HussainAy kamar hona hai ik din mere mehdi ka zahoorSheh ye kehte hai ye waris mera aayega zarur(Leke badla wo kahega)×2Chur zakhmo se hai tanhaAbi zinda hai HussainAbi zinda hai Hussain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.