Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ya zehra

Irfan Haider · 2002

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Ya zehra[Fetema zehra] ×2[ya zehra] ×41. [Ay meri bibi] ×2tere dar pe istighasa he, tera mamnoon meri shehzadi ye jaha sara hai[ya zehra] ×42. tu hame hifz or amaan dede, apni chadar ke saiban dede,teri kudrat me kya nahi bibi, tu jise chahe do jahaan dede[ya zehra] ×43. [ay meri bibi] ×2aansu-o mein duwa mangi hai, teri tasbee hi parke dil ne tuje pukaara hai[ya zehra] ×44. tera darbaar wo sakhi dar hai, har farishta jahaan gadaagar hai,tere makrooz asmaan waale tera makrooz har sikandar hai[ya zehra] ×45. [ay meri bibi] ×2tu sakhi hai tere bache bhi, ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai[ya zehra] ×46. farshe majlis pe aur musalle par, har jawaa keh raha hai roro kar,ham rahe na rahe magar bibi, ta qayamat rahe game sarwar[ya zehra] ×47. [ay meri bibi] ×2tere bacho ka gham manaa te hai, apni awlaad se kahi barke gham ye pyara hai[ya zehra] ×48. karz makrooz ka adaa karde, mufliso ka naseeb wa karde,jinki godi bhari nahi bibi unko awlaad tu ataa karde[ya zehra] ×49. [ay meri bibi] ×2bas tuhi muraad deti hai, teri chawkhat dare ilahi ka isti araa hai[ya zehra] ×410. farz momin se gham juda karde, bas ghame karbela ataa karde,be khataa kayd me hai jo momin, mojize se unhe rihaa karde[ya zehra] ×411. [ay meri bibi] ×2gham koyi hussainiyo ko na de, jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai[ya zehra] ×412. un shaheedo ka ye mukadar hai, sayibaan inka teri chadar hai,unke sino pe ay meri bibi daaghe maatam nishaane haider hai[ya zehra] ×413. [ay meri bibi] ×2khuld me shaheed jab jaye, teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai[ya zehra] ×414. majlise gham me ashk barsaane, aasake ya nahi khuda jaane,kya bharosa hamaari saanso ka, ab kahaa ham kahaa azaa khaane[ya zehra] ×415. [ay meri bibi] ×2ashke gham teri amaanat hai, teri awlaad ke hi gham ne hame sawaara hai[ya zehra] ×416. tujko ummat ne yu sataaya hai, marghe mohsin pe bhi rulaaya hai,tujko baba ke baad ummat ne, haaye darbaar me bulaaya hai[ya zehra] ×417. [ay meri bibi] ×2kitne sadme utha hai tune, ji te ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai[ya zehra] ×418. [ay meri bibi] ×2tere darpe sar jukaa te hai, har hussaini ka tere tukro pe hi guzaara haiWarke matam sha [Fatema zehra] ×2 Aalame walaa [Fatema zehra] ×2 Mere man maula [Fatema zehra] ×2 Sarware zehra [Fatema zehra] ×2 Aaha wawayla

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.