Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Zehra Ko Do Pursa

Irfan Haider · 2014

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Karbobala ke dasht me be aasra aale nabiMaare gaye ansaar sab, zakhmi hua ibne aliMunis nahi yawar nahi, ghaazi nahi akbar nahiBikhre pade hai ja baja, laashe kahi aur sar kahiMatam karo ehle aza, ghar lut gaya shabbir kaPurse ko aai sayyeda, matam karo ehle azaPursa bhare ghar ka hai ye, jo karbala me lut gayaHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaEk dopeher me lut gaya, maqdooma-e-alam ka gharKaunain ki shehzadiya, nauha kuna hai nange sarTumse ali ki laadli, kehti hai ye sar peetkarHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaAye rone walo kya kahe, kesi hui humpe jafaKohe musibat gir pada, hum hogaye be aasraHar majlise shabbir me, aati hai zainab ki sadaHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaPamaal hai farwa ka dil, pamaal qasim ka badanMaara gaya naushaah bhi, pardes me tashna dahanShaale aza pehne hue, kehti hai ek shab ki dulhanHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaNana ki jo tasweer tha, rukhsat hua khakar sinaEk haath seene par rakhe, behosh hai akbar ki maaZinda rahu kese bhala, hai umme laila ki fughaHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaKya asr ka hangaam tha, jab shaah par khanjar chalaWo 13 zarrbe shimr ki, mazloom ka sookha galaMaadar ko dekha dasht me, aur zere lab kehne lagaHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaShaame ghariba aagai, karbobala roti rahiJalti hui is khaak par, baithi rahi aale nabiDasht-e-bala me marsiya, karti rahi binte aliHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Barbaad hua ran me ghar aale payambar kaHai mazhar-o-irfan bhi, farshe aza par matamiAnkho se jaari alqama, purse ka hai haq to yahiMarham dil-e-zehra ka hai, nauhagari seenazaniHussainya hussain,hussain bekafan, hussain bekhataSab milke azadaro zehra ko do pursa..(2)Zehra ko do pursa, Zehra ko do pursa..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.