Bahot Hi Sakht Manzil Bachpane Mein Maa Ki FurqatBina Madar Ke Pahli Raat Bachhon Par Qayamat HaiBahot Ghabra Rahi Hai Fatima Ki Ladli ZainabLabon Par Bain Hai, Amma Akeli Ho Gayi ZainabGhar Tum Bin Soona Hai, Aajaao Maa ZahraDil Mera Phat Ta Hai, Aajaao Maa Zahra1.Bohot Uljhan Hai Is Dil Mein,Chali Aao Kahan Ho TumTumhe To Ye Pata Hai Na,Mera Saara Jahan Ho TumYe Beti Tanha Hai, Aajaao Maa Zahra2.Lahad Mein Tum Akeli Ho, Mujhe Kaise Qaraar AayeKahin Phir Se Koi Zaalim Tumhe Iza Na PahunchayeDar Mujhko Lagta Hai, Aajaao Maa Zahra3.Bichhadne Ka Ye Gham Amma, Nahi Mujhse Saha JaataChali Aao, Bina Maa Ke Mujhe Jeena Nahi AataSin Mera Chhota Hai, Aajaao Maa Zahra4.Hussain Ab Tak Nahi Soya, Ise Lori Suna Do TumLiye Paani Main Baithi Hoon, Zara Aakhri Pila Do TumShahzada Pyaasa Hai, Aajaao Maa Zahra5.Mere Aage Hasan Roye, Ye Gham Kaise Sahe ZainabTamaachon Ki Sada Dil Se Juda Kaise Kare ZainabUljhan Mein Bhaiya Hai, Aajaao Maa Zahra6.Bharosa Tha Mujhe Har Dam, Museebat Mein SambhalogiKabhi Bhi Jab Main Roungi, Gale Se Tum Laga LogiDil Mera Toota Hai, Aajaao Maa Zahra7.Sahi Jaati Nahi Mujhse Mere Baba Ki MayoosiKahe Kisse Wo Gham Apna, Mite Kaise Ghutan Dil KiMushkil Mein Baba Hai, Aajaao Maa Zahra8.Nadeem Haal-E-Dil-E-Zainab Bayan Kaise Kare KoiPata Hai Ab Kabhi Amma Palat Ke Ghar Na AayegiDil Phir Bhi Kehta Hai, Aa Jaao Maa Zahra
Aa Jao Maa Zahra (SA)
Ali Moosa · Poet: Nadeem Sultanpuri · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.