Lagaa durra sakina ko to royi bedi aabed kiBalaa se shaam Tak aankhey kahaa'n par soyi aabed kiKhuley sarr chaar saala fatema ke hai Galey mey rasanHai haalat rasiiyo'n mey jakdey Hyder jaisi aabed kiSinaa se shaah ka rotaa hai sarr ye dekhkar manzarHai zaqmi kaan bachi ke badan hai zaqmi aabed kiTamaacha jab koi rukhsaar par maarey sakina keWahii laachaargii se hota hai Dil chalni aabed kiGiraatey hai yateema ko layee'n jab pusht e naaqey seNigaahey tab bahaatii hai lahoo ke moti aabed kiSambhaalo ab sakina ko layee'n se aye phupii AmmaNahii hai ab kahii bhi jism mey jaa'n baaqi aabed kiTamaachey maartey hai har ghadi zaalim sakina koAur hastey jaatey hai phir beykasii par shaami aabed kiMilaa peeney ko paani jab sakina ko, nahi peekarLahoo mey doobkar Jo paav hai wo dhoyi aabed kiKabhi kehti hai jaakar zaalimo'n se maarlo mujhkoTumhaarey khaakey durrey jaan ab hai jaati aabed kiLikhaa hai Jo masaayab *"GAAZI"* bintey shaah e waala keKoii padhtaa hai jab bhi aankh hai namm hoti aabed ki
Aabed Ki
Anjuman E ZAINABIA · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.