Sarwar ko maartey hai aadaa rulaa rulaakeyMazloom o beywatan ko pyaasa sataa sataakey1) Boley Husain beta mujhko muaaf karnaTurbat teri banaata paani jo mujhko miltaaDafnaa rahaa hoon tujhko aansu bahaa bahaakey2) Maasoom beyzubaa'n par ye zulm kardiyaa haiUskey bhi sarr ko aadaa naizey pey rakhdiyaa haiDafnaaya tha shah e dee'n jisko chupaa chupaakey3) Beenaayi jaachuki hai nazro'n mey hai andheraAawaaz dey aye akbar aayega tera babaMai thak gayaa hoon beta tujhko bulaa bulaakey4) Maidaan mey hai tanhaa khairunnisa ka dilbarImdaad ko wahaa'n par moonis hai aur na yaawarShabbir thak gaye hai laashey uthaa uthaakey5) Aye shimr tu bataadey kuch to qataa hai shah kaKhanjar hai kund uspar sookha galaa hai shah kaGardan kyu'n kaat'taa hai zarbey lagaa lagaakey6) Naizey se girraha to phirsey usey chadaaoAhley haram khuley sarr hai ye usey bataaoAbbas ko rulaao chaadar dikhaa dikhaakey7) Maaro tamaachey mujhko ek sarr sinaa se bolaaSoneydo meri bachi ko reyt par zaraa saaUsko na tum jagaao daaman jalaa jalaakey8) Majmaa sharaabiyo'n ka darbaar mey hai baithaaAur tasht mey hai rakkhaa Sarwar ka sarr bureedaAur hasrahey hai zaalim mehfil sajaa sajaakey9) Kya guzri hogi us damm Zainab ke dil pey *"Gaazi"*Baazaar mey na jaaney kis tarha seh rahi thiHastey they shaami shah ko baagi bulaa bulaakey
Aadaa Rulaa Rulaakey
Anjuman E ZAINABIA · 2021
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.