Azadari MediaAzadari Media

Aaj Tanha Hai Ali

Syed Haider Rizvi · Poet: Talib Allahabadi · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Read in
Chhod Kar Jao Na Zahra, Aaj Tanha Hai AliYe Ali Padhte The Nauha, Aaj Tanha Hai AliRehlat-e-Mursal-e-Azam Tha Giraan Is Dil ParTum Bhi Jaati Ho Mujhe Chhod Ke Qurb-e-SarwarKhaak Hai Bin Tere Duniya, Aaj Tanha Hai AliUth Ke Dekho To Zara Bekas-o-Mazloom Ka GhamDekha Jaata Nahi Ab Zainab-o-Kulsoom Ka GhamKaise Doon Inko Dilaasa, Aaj Tanha Hai AliDil Mera Soch Ke Ho Jaata Hai, Bibi, BechainChhote Chhote Hain Abhi Mere Hasan Aur HussainMaa Ka Sar Se Utha Saaya, Aaj Tanha Hai AliPasliyan Tooti Thi Phir Bhi Na Bataya BibiKyun Tamaache Ka Nishaan Mujhse Chhupaya BibiDil Phata Jaata Hai Mera, Aaj Tanha Hai AliSaath Logon Ne Jo Chhoda To Sahaara Tum ThiMujhko Ek Pal Bhi Nahi Fikr Thi Tanhaai KiHo Gaya Ab Main Akela, Aaj Tanha Hai AliKaise Mazloomi Likhe Maula Ki Talib, HaiderQabr-e-Zahra Pe Ali Kehte The Ye Ro-RokarGhar Mein Dil Kaise Lagega, Aaj Tanha Hai Ali

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.