Aajawo ali asger[Aajawo ali asger] ×3[Maa jula julaye] ×4Raato ko uth kar lori sunaye hai,Ay phool sa sipahi,Tujko salaam mera,Tune kiya hai uncha,Dunya me naam mera,Aajawo tuje maa sine se lagaye hai,[Maa jula julaye] ×2Amu hai paas tere,Baba hai aur akber,Darna na zalimo se,Ay be zuban asger,Maa ko bulaana jab nind na aye hai,[Maa jula julaye] ×2Maa teri tashnagi par,Qurbaan meri jaani,Kyu beh rahaa hai darya,Tujko mila na pani,Aaja ke madar paani pilaye hai,[Maa jula julaye] ×2Tu chaand mere ghar ka,Dunya se jane waale,Tu kya gaya hai gar se,Rukhsat hu ye ujaale,Taarikiyo ke badal se chhaaye hai,[Maa jula julaye] ×2Awlaad ka bicharna,Sab se baraa hai sadma,Ujri hai kokh meri,dil ro raha hai mera,yeh aag dil ki maa kaise bujaye hai,[Maa jula julaye] ×2madar ke samne jab,paani ka jaam aye,besaakh ta labo par,tera hi naam aaye,paani me tera chehra nazar aaye hai,[Maa jula julaye] ×2Dil se nikal rahi hai,Ab yeh duwae har pal,Maa ban ke tujko paale,Ye sar zamine maktal,Darti hu laykin tu khof na khaye hai[Maa jula julaye] ×2Sunti hu rodiya tha,Tuj par sitam ka lashkar,Tu muskura raha tha,Jis waqt teer kha kar,Kayse tuje maa dilse bhulaye hai,
Aajawo ali asger
Irfan Haider · 2001
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.