Haye dukhtare muslim..(8)Aatiqa(sa) ne khole laashaye Muslim(as) pe apne baal,Ay Rabbe ZuljalaalMuslim(sa) bahaye jaate the aansu basad malaal,Ay Rabbe Zuljalaal1. Baba ki laash jis ghadi masoom ne dekhi, pehchan na sakiZakhmi the hont khoon mein doobe hue the baal, Ay Rabbe Zuljalaal2. Muslim(as) ki aankhein baade qaza band na hui, thi khoon se bhariIs haal mein Muslim(as) guzaara tha ek saal, Ay Rabbe Zuljalaal3. Manzar ajeeb kufe ki galiyo mein tha ayaa'n, ghamnaak tha samaa'nThe shaad musalmaan tou ghamgee'n Nabi(saww) ki aal, Ay Rabbe Zuljalaal4. Zainab(sa) ko kabhi chaadare Zainab(sa) ko dekhkar, maqtal ko sochkerMuslim(as) ko haaye aa gaya Abbas(as) ka khayaal, Ay Rabbe Zuljalaal5. Fariyaad sare laashaye Muslim(as) bapa hui, Zainab(sa) ujad gaiBhai bhi qatl hogaye maare gaye hain laal, Ay Rabbe Zuljalaal6. Kaise "Shabih" hoga bayaa'n gham ka marhala, IMRAN ne kahaAfsurda Ahlebait(as) musalman the nehaal, Ay Rabbe Zuljalaal
Aatiqa ne khole laasha e muslim pe apne baal
Imran Mehdi · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.