Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aaya hai alam

Meesum Abbas · 2015

Alamdaar na aaya, alamdaar na aaya..(3)Aaya hai alam, aur alamdaar na aaya..(2)darya se dil e haider e qarrar na aayaaaya hai alam..1. Baazu jo kate daa'nto mein mashkeeza dabaya..(2)jab mashk chhidi phir wo hayadaar na aayaaaya hai alam..2. Har waaste bhai ka madadgaar tha ghaazi..(2)baad uske koi sheh ka madadgaar na aayaaaya hai alam..3. Jab tak wo raha chadar e zainab ka muhafiz..(2)khaime ki taraf koi sitamgaar na aayaaaya hai alam..4. Baazu tha jo shabbir ka be baazu hua wo..(2)be dast wo dast e shahe abraar na aayaaaya hai alam..5. Jis waqt tamache hai lage boli sakina..(2)kya mujhpe chacha jaan tumhe pyaar na aayaaaya hai alam..6. Hai mujhko yaqee'n naize pe ghazi ko ye ghum tha..(2)kabze mein mere shaam ka bazaar na aayaaaya hai alam..7. Manga hai sakina ke tawassul se jo meesum..(2)salman dar e ghazi se inkaar na aayaaaya hai alam..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.