Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas Ek baar mujhe bhi maa kehde

Irfan Haider · 2021

Haaye..Ya abbas, ya abbasAbbas.. AbbasYa abbas...Ek baar sada do na, maa kehke pukaronaYa abbas...Waqt e rukhsat hussain ko bhaijab alamdar ne kaha hogasochta hu ke roohe zahra neroke us waqt ye kaha hoga{Abbas, abbasek baar mujhe bhi maa kehde}..(3)1. Shabbir ko bhai tune kahabhai ka kiya armaa'n puraarmaan mera pura karde.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)2. Aye laal mere maa hone kahar farz nibhaya hai maineabbas.. abbasshabbir ke hatho se tujhkojhula bhi jhulaya hai maineehsaan tera hoga mujhpe.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)3. Zakhmi thi bohot phir bhi tujhseis maa ko mohabbat thi itniabbas.. abbasek haath tha mera pehlu peek haath se kurta seeti thisab zakhm mere bhar jaenge.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)4. Jis waqt gira tu ghode semai dekh rahi thi wo manzarabbas.. abbasaghosh mein tujhko rote huemaine hi sambhala tha badhkarkab door hui hu mai tujhse.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)5. Bachcho ke liye jab dariya semashkiza bhara paani na piyaabbas.. abbassehroz ka pyaasa hokar bhikya khoob nibhayi tune wafaaye tashna dahan mere pyaase.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)6. Teri aankh se teer nikalu maitu dekhle bhai ka chehraabbas.. abbasye waqt e judayi hai dil meinhasrat na rahe koi betaaa khoon hata du aankho'n se.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)7. Khaime mein sakina pyaasi haiye baat tujhe tadpati haiabbas.. abbasis haal mein bhi tujhko haayezainab ki rida yaad aati haiaa tujhko laga lu seene se.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)8. Zeeshan sunaya ro ro karirfan e azaa ne ye nauhaabbas.. abbasdariya ke kanare ghazi nemaa kehte hue dum tod diyazahra ne kaha jab ro ro ke.. abbasek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)Ya abbas, ya abbasAbbas.. Abbas

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.