Abbas jaa rahe hai[Haae Abbas] ×6Bache tarap rahe hai, Abbas jaa rahay hain, Har bibi ro rahi hai,Abbas jaa rahay hain, Apne rida ko zainab, haaye hasrat se dekhti hai[Abbas ja rahay hain] ×4Sukhe huwe labon par, bachon zaban na phero, (mashko alam ko dekho)x2 kuch deyr mei yahaan tak, khud nehr aa rahi hai, abbas jaa rahe hai[Abbas ja rahay hain] ×4Kyun mashk tumne dedi, ghazi ko shahzaadi, (ay ranjo gham ki aadi)x2 khush kyun hai ai sakina, kuch der ki khushi hai, abbas jaa rahe hai[Abbas ja rahay hain] ×4Jukne lagi qamar hai, abbas ka safar hai (sheh marna jaae dar hai)x2 aafat ghamon alam ki, sarwar pe ghir pari hai, abbas jaa rahe hai[Abbas ja rahay hain] ×4Ik shore al-atash hai, phailaa huwa fazaa mei, (masroof hai dua mei)x2 kyaa sog karbalaa mei, ummeed aakhri hai, abbas jaa rahe hai[Abbas ja rahay hain] ×4Khaimon mei shore matam, hone laga hai paiham, (har aankh hogayinam) x2 shaame gharibaan daaman, phailaati jaa rahi hai, abbas jaa rahehai[Abbas ja rahay hain] ×4Zainab ke baazuuon ko, chuma tha jab ali ne, (lamhaat-e-zindagi mei)x2 baazu bandhenge mere, zainab samaj gayi hai, abbas jaa rahe hai[Abbas ja rahay hain] ×4"Rehan Azmi" wo, manzar na likh sakunga, [bas itna keh sakungaa] ×2kehte the shaahe maula, kam meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai[Abbas ja rahay hain] ×4
Abbas jaa rahe hai
Shahid Baltistani · 2004
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.