Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas ka laasha

Irfan Hussain · 2020

Karbobala mein dekh ke bikhre hue laashehar laashe besar par bohot royi hai Zahrasar saare shahido ke jab aaye sare naizaZahra ne kahaa dekhke abbas ka laashaHaye shaam, Haye shaam..Haye bazaar, Haye ghairat e abbasNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)Sab ko lahu rulwata hai..(2) abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)1. Sambhla na gaya laashe pa Zahra ne girayaphir seene se laashe ko yehi kehke lagayshabbir ke laashe sa hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)2. Jaise hi kaha shaah ne shero mere uttholabbaik kaho uthke hussain ibn e ali koye sunke bohot tadpa hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)3. Barsaat tamacho ki sakina pa hui haihad zulmo sitam ki ye yatima pa hui haihar zulm pa sar patkha hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)4. Sarwar ne wilayat ke liye sar ko katayaasghar ne wilayat ke liye teer hai khayapaigham yehi deta hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)5. Khaime jo jale roke ye zainab ne sada dighazi na raha chin gayi behno ki rida bhiye dekh ke khoo'n rota hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)6. The zakhm bohot sar pa tere aye mere ghazinauha ye padha karte hai tanhayi mein Mehdikhoo'n ghaib mein rulwata hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)7. Irfan se kehta hai jo ghum aale nabi kanasir ho ya ho koi bhi ghumkhwaar ali kahar lafz pa yaad aata hai..(2), abbas ka laashaNaizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.