Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas Ka Lasha

Meesum Abbas · 2020

Ab tak he zabano pe Alamdar, AlamdarMara gaya sarwar ka madadgar, AlamdarKhaimon me nahi aa saka Abbas ka lashaAbbas ka laasha, Abbas ka lashaPamaal he khud laasha e Qasim se zyadaAbbas ka lasha, Abbas ka lasha1) Abbas ki qaamat pe bara naaz tha usko, Mill ke dua maango (2x)Allah kare dekhe nahi bali Sakina…Abbas ka lasha, Abbas ka lasha2) Pucha kyun lehad chhoti he Zaynab ne jo ro ke, Sajjad ye boley (2x)Amma mujhe maidaan se itna hi mila tha… Abbas ka laasha, Abbas ka laasha3) Sheh bolay ke ghayyur tha woh mera biradar, Dekho Ali Akbar (2x)Jis jah hai giri mashk waheen par hi milega…4) Bhai ke kate haathon ko maqtal me uthaa kar, Seene se laga kar (2x)Rote huwe khud dhuund rahe hein Shahewala…5) Jis waqt chala gardan-e-Shabbir pe khanjar, Har zarbe la'een par (2x)Saahil pe tarap-ta raha Sarwar se ziyada…6) Jin haathon se bachpan me usse jhula jhulaya, Gowdi me uthaya (2x)Un haathon se ab kayse uthayein mere Maula… Abbas Ka Lasha7) Akbar bhi yahan he, wahan Zainab he akeli, Aajayen na Shami (2x)Kyun aap uthaa ne ke liye aa gaye Aaqa…Abbas ka lasha8) Sajjad gharibi pe tarapne lagey Maula, Jis waqt ye dekha (2x)Gowdi me uthaaye huwe pehle se thi Zahra…Abbas ka laasha

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.