Abbas meer e Lashkaram x 4Abbas kehte hain, Mujhe Abbas Kehte hain...Mujhe Abbas...1.Main Qamr e Bani hashim hoon, sardar hoon main lashkar ka..Shabbir mera aqa hai,Main beta hoon haider ka.. x 2Maslak mein wafadari hai, Mansab me alamdari hai.. x 2Abbas kehte hain...2.Zehra ne kaha hai beta,hai saare arab me charcha,Shabbir ke dil ki taaqat,Hoon chand bani hashim ka.. x 2Main karbobala ka haider, Jibreel bacha le Shai Par.. x 2Abbas kehte hain..3.Woh Jaa ho Hasham rakhta hoon,Shaano Pe alam rakhta hoon..Lo rok sako toh roko,Darya mein qadam rakhta hoon.. x2Main hashr bapa kar doonga,sar tann se juda kar doonga.. x2Abbas kehte hain..4.Mujhko bhi Imamat milti,Tauqeer meri badh jaati,Pee leta jo Sheer e Zehra,Kaunain me thi Sardaari... x 2Hoon apne badan ka saani,Patthar se nichodu paani.. x2Abbas kehte hain..5.Talwar hai mere baazu,Hai mujhme wafa ki khushbu,Main dekh nahi sakta hoon,Zainab ki nazar me aansu.. x 2Gar gaiz mein aakar dekhu, paani me aag lagaa doon.. x2Abbas kehte hain..6.Parcham yeh mere baba ka,Taa hashr rahega ooncha,Khaibar mein mila baba ko,Aur aaj hai maine paaya.. x 2Parcham na yeh jhuk paaega, har daur me lehraaega.. x 2Abbas kehte hain..7.Bachcho ko tasalli dekar,Main aaya hoon darya par,Bachcho ki aas na toote,Bass ek dua hai lab par.. x 2Paani jo na pohcha unga,Khaimo me nahi jaaunga.. x 2Abbas kehte hain..8.Be izne waga aaya hoon,Talwar nahi laaya hoon,Thokar mein hai mere paani,Seh roz ka main pyaasa hoon.. x 2Behta hai lahoo beh jaaye, bass naam e wafa reh jaaye.. x 2Abbas kehte hain..9.Jo teer bhi hai Darkash meinPaywast karu nas-nas mein,Par Mashk pe waar na karna,Phir baat na hogi bass mein.. x2Baazu bhi kata sakta hoon, main khoon mein nahaa sakta hoon.. x2Abbas kehte hain..10.Abbas e jari ka roza,Hai ehle aza ka kaaba,Ek roz Rehan o Sarwar,Humne bhi yeh manzar dekha.. x2Kehta hai koi darya par, sabh jaaye pyaas bujhaakar.. x2Abbas Kehte hain..Khaimo me na le jaana,Aaqa mere laashe ko,Sharminda na karwaana,Sehroz ke pyaase ko..Abbas kehte hain..
Abbas kehte hai
Nadeem Sarwar · 1997
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.