Jis waqt shaam aayaZainab ka dil ghabrayaJis waqt shaam aayaZainab ka dil ghabrayaZainab ka dil ghabrayaBazaar mein sitamgarzainab ko laa rahe haiabbas ko bulao..Bazaar mein sitamgarzainab ko laa rahe haiabbas ko bulao..Aale nabi ko zalimdar dar phira rahe haiabbas ko bulao..Bazaar mein sitamgarzainab ko laa rahe haiabbas ko bulao..1. Saidaniya to sheh ke matam mein ro rahi hai..(2)aur be haya sitamgar khushiya mana rahe haiabbas ko bulao..2. Ek ashk par hai jinke dono jahaan sadqe..(2)has has ke shaam wale unko rula rahe haiabbas ko bulao..3. Ahle haram pe zalim barsa rahe hai patthar..(2)mazloom sar jhukaye aansu baha rahe haiabbas ko bulao..4. Be khauf hoke zalim, ghasib ghulam zaade..(2)sheh ki yateem bachhi, pe zulm dha rahe haiabbas ko bulao..5.Tishna dahan sakina hasrat se dekhti hai..(2)paani dikha dikha kar shaami rula rahe haiabbas ko bulao..6. Beemar saarbaa'n se ghabra ke boli zainab..(2)hum be rida khule sar darbaar jaa rahe haiabbas ko bulao..7. Ek maa tadap tadap ke faryad kar rahi hai..(2)sajjad ke sitamgar durre laga rahe haiabbas ko bulao..8. Phir waqt aagaya hai duniya mein aaj gohar..(2)Ehle sitam jaha'n mein phir sar utha rahe haiabbas ko bulao..Bazaar mein sitamgarzainab ko laa rahe haiabbas ko bulao..
Abbas ko bulao
Farhan · 2021
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.