Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas Sa Bhai

Mir Hasan Mir · 2020

Jab hue bazu e Abbas qalam darya parGir ke thanda hua hazrat Ka alam darya parGarq e khoo'n hogaya wo behr e karam darya parGhul tha zakhmi hua saqqa e haram darya parMashk ko danto'n mein pakde hue yu laata haiDahn e sher mein jis tarha shikaar aata haiAlgharaz lasha e Abbas pe aaye maulaSar ko zaanu pe rakha aur yeh ro ro ke kahabhai to aaj hamein keh do khudara bhaiyyaNazah mein bhai ko, Abbas ne Bhai bolaaakhri saa'ns li aur daar e fana chod diyabhai ne bhai ki, aghosh mein dum tod diyaAbbas haye Abbas, Abbas haye Abbas..(2)Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai..(2)Pardes mein looti gayi..(2)Haider ki kamayiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai..(2)1. Sheh ne yeh kaha lasha e saqqa e haramBaba ki tarha tum bhi juda hogaye hum seDo baar yateemi meri behno pe hai aaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai2. Mazloom se maqtal mein chala hi nhi jataJab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaataGhazi ki shahadat ne kamar aisi jhukaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai3. Bachhi ne kaha shaah se farz apna nibhauNazdeek agar hai koi basti to mai jauAmmu ka kafan layegi, ammu ki fidaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai4. Abbas ke bachho'n se mai sharminda rahungaMaqtal se utha laaya hu, har ek Ka lashaAfsos ke Abbas ki, mayyat na uthaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai5. Khat khaak pe dete the, qadam Zeen se jiskeMaidan mein us sher ke, itne hui tukdeSajjad ne chaadar mein wo, mayyat hai uthaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai6. Darya bhi tadapne laga yeh dekh ke manzarYaad aane laga seena e ham shakl e payamberJab mashk kate hath se mola ne chudaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai7. Sadyo se hai taari ye fizaa ranj o alam kiYeh chaand jo aujhal hua nazro se haram kiPhir sani e zehra ne kaha Eid manaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai8. Ammu ki judai pe bohot roye hai babaSamjhati hai ro ro ke yeh bachho ko sakinaAb dena nahi koi bhi, pani ki duhaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai9. Har matami seene mein bapaa hoga talatumIs Saal tera jaana, to mushkil hai takallumNohay ki magar karb o bala tak hai rasaiHazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.