Gaazi mere baradar Abbas tum kahaa’n hoAayi hai raat sar par Abbas tum kahaa’n hoAao sahara de do, laasha jawaan ka haiKaise uthhaye Sarwar, Abbas tum kahaa’n hoZehra bhi aa gayi hai, taakhir na karo tumKat’ta hai halq e Sarwar, Abbas tum kahaa’n hoJisko nazar milaakar, dekha kabhi na tumneUska hai naize pe sar, Abbas tum kahaa’n hoGairat ko aap ki ye, tasleem kaise hogaKhaimo’n mein aaye lashkar, Abbas tum kahaa’n hoSholay bhadak rahe hain, maqtal dhuaa’n dhuaa’n haiHai khaufnaak manzar, Abbas tum kahaa’n hoDar dar phiregi waaris, tat’heer ki ab aiseSar par na hogi chaadar, Abbas tum kahaa’n hoPal bhar ko aa bhi jaao, bachchi ko chayn aayeJaao tasalli dekar, Abbas tum kahaa’n hoKabze mein tegh hoti, to jaante ye zaalimKya hai jalaal e Haidar, Abbas tum kahaa’n hoManzil ‘Salim’ aaye, pool e Siraat ki toDena sadaa tadapkar, Abbas tum kahaa’n ho
Abbas tum kahan ho
Anjuman e Mohibbane Hussain · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.