Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas(as) Aajao

Anjuman E ZAINABIA · 2020

Zainab hai khadi bey aas aye Abbas aajaoHai koi nahi merey paas aye Abbas aajao1) Zaailim ke tamaachey khaakey sakina' roti hai dekhoSeeney par soney waali reyt pey soti hai dekhoBujhgayi hai uski pyaas aye Abbas aajao2) Chaadar cheenengey khaimo'n mey aa aakey sitamgar jabSarr uryaa'n hokar baazaaro'n mey jaayegi zainabMaareygi ye ehsaas aye Abbas aajao3) Jaatey hii terey khatl huwey akbar bhi asgar bhiAur chalgaya gardan e shaah e hudaa par zulm ka Khanjar bhiHai ahley haram mey yaas aye Abbas aajao4) Laakar tu udaadey koii chaadar aye merey bhayyaJaana hai galii koocha o darr darr aye merey bhayyaBeyparda hai mera raas aye Abbas aajao5) Hai pusht taley mere haath bandhey khologey nahi bhayyaMehmil na amaarii hai sarr par kyu kartey nahi saayaAye hyder ke almaas aye Abbas aajao6) Nazro'n se bachaaney mujhko logo'n ki bhayya sarwarQuran ka soora e kahf sunaatey hai Naiza' chadhkarTum aakey padho wannaas aye Abbas aajao7) Shaano' ke katney par bhi mujhko ghum naa tha koiPar jaa'n chorhi mashkeeza' chidtey hi my ney bibiMujhko na kaho ilyaas aye Abbas aajao8) Jitney bhi museebat raah e Shaam mey zainab ney jhelaaPur dard masaayab *"Gaazi"* raqam karsakta nahi maulaRotey hai qalam qirtaas aye Abbas aajao

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.