Har muntazir ki hai yahi awaz subh o sham Adrikni ya imam.. Parde se le ke aayiye ab haideri husaam Adrikni ya imam..1)parda rukhe Haseen se agha hataiye Aye waqt ke hussain Zara jald aayiye Sairab ham ko jaam e ziyarat se kijiye Ankhe'n ye Kab se deed ki khatir hai tashna kaam...Adrikni Adrikni ya imam...2)piyasa jise shaheed kiya uska wastaChini gayi thi jis ki Rida uska wasta Ruqsar jis ka khoo'n se bhara uska wasta Aa kar imam lijiye Shoda ka inteqam...Adrikni Adrikni ya imam...3)lasho pe lashe mola uthayenge Kab talakbe jurm ham galo ko katayenge Kab talakAwaz alajal ki lagayenge Kab talakZulmo sitam ki keyje hukumat ko ab tamam..Adrikni Adrikni ya imam...4)tooti thi jaise pasliya'n binte rasool kiHai aaj waise qabr bhi tooti padi huwiTurbath pe ek charagh bhi roshan nahi koi Veeraniya baqiya ki kehti hai subho sham...Adrikni Adrikni ya imam...5)aye mehdi beqarar dil shad kijiye Baba ke qatilo ko saza jald dijiye Aur aa ke badla ammu ke shano ka lijiye Ek bachi qaid khane se karti hai ye kalam..Adrikni Adrikni ya imam...6)dil khol kar hussain ka matam Karenge hamAur aap se hussain ki ghurbat sunenge hamLabbaik ya hussain wahan par Kahenge hamKabe me keyje majlis e sarwar ka ehtemam...Adrikni Adrikni ya imam...7)hoo arbaeen aisa bhi aqa hame naseeb Hamrah jaye apke karbobala ghareebMatam kare hussain ke roze ke ham khareeb Ek arzo ye rakhte hain sab aapke ghulam...Adrikni Adrikni ya imam...8)Nayab jo apka hai wo muqthar e waqt haiBe khauf ladh raha hai jo dushman se deen ke Rakhte bugz log ussy Khamenei se Uthti hain us pe apno ki ab ungliya imam..Adrikni Adrikni ya imam...9)har zakir e hussain ko Arham Payam do Mazloomiyat imam ki har dam baya'n karo Mehwe bayan qaim o dayeem zaban hooWo chahe noha marsiya hoo ya ke hoo Salam...Adrikni Adrikni ya imam...
Adrikni ya imam(ajtf)
Syed Dayeem Raza · Poet: Zama
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.