Azadari MediaAzadari Media

Aey Meri Fatima s.a

Shahid Baltistani · Poet: Zeeshan Abidi · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Aey Meri Fatima s.aRukh Se Hataya, Kaanpte Haathon Se Jab KafanRo Ke Fatima Se Yeh Bole Abal HasanMujh Se Baatein KaroMeri Zainab Ki Maa, Aey Meri FatimaJaanti Ho Tum Hi Meri TanhaiyanAey Meri FatimaYa Zahra, Ya Zahra, Ya ZahraZakhm Khaaye Bohat Tum Ne Mere LiyeTum Ko Maara Gaya Mere Hote HueMujh Ko Tanha Kabhi Tum Ne Chhoda NahiAansu Ponchhe Mere Tum Ne Jis Haath SeTaaziyane Ka Hai Aaj Us Par NishaanAey Meri Fatima Dekhte Dekhte Tum Zaeefah HuiZakhm Khaaye Magar Kuch Na Boli KabhiAb Main Samjha Ke Tum Chalte Chalte Yeh KyunMujh Se Kehti Thi, Main Thak Gayi Ya AliMain Ne Tooti Hui Dekh Li PasliyanAey Meri FatimaChup Raha Jab Talak Tum Ne Poochha NahiHaan Salaam, Ab Mujhe Koi Karta NahiAe Meri Fatima, Is Madine Mein AbJitna Main Hoon, Koi Itna Tanha NahiMeri Hamdard Thi, Ek Tum Hi YahanAey Meri Fatima Maa Ke Gham Ka Use Kitna Ehsaas ThaMujh Se Mera Hasan Chhup Ke Rota RahaKaise Woh Bolta Raah Mein Zor SeMaa Ke Rukhsaar Par Jab Tamaacha LagaKhaak Par Gir Gayin Toot Kar BaaliyanAey Meri Fatima Tum Se Aabaad Tha Mera Chhota Sa GharApne Bachon Ko Main Le Ke Jaaun KidharTum Se Behtar Koi Kaise Samjhe BhalaTum Ne Khoya Jise, Bain Deewar-O-DarMujh Ko Woh Keh Saka Baap, Na Tum Ko MaaAey Meri Fatima Sun Ke Roti Rahi Zaalimoon Ki HansiTum Ko Jhooti Kaha Aur Sanad Phaar DiGhar Talak Aayi Tum Aise Darbaar SeBaap Jaise Jawaan Laash Laaye KoiKhat Banaati Rahi Khaak Par AidiyanAey Meri Fatima Band Kar Ke Kafan Di Ali Ne SadaaMar Gaya Hai Ali Ho Ke Tum Se JudaTum Ko Is Qabr Mein Jab Utaarunga MainHaath Phailayenge Khud Rasool-E-KhudaDafan Tum Ko Karoon, Mere Bas Mein KahanAey Meri Fatima Bola Zeeshan Yeh Ro Ke Darvaish SeFatima Ko Ali Dafan Jab Kar ChukeUthna Chaha Magar Uth Na Paaye AliQabr Par Gir Gaye Ladkharaate HueHaath Seene Pe Tha Aur Labon Par ZubaanAey Meri Fatima Mujh Se Baatein KaroMeri Zainab Ki Maa, Aey Meri Fatima

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.