Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aina mahdi e zaman

Shuja rizvi · 2017

Ya Mahdi, Ya Mahdi, Ya Mahdi..(2)Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)1. Mujhme taqwa wo nahi kaisr Ammar banumujhme taqat wo nahi mai bhi Mukhtar banuPisar e Fatema, na mai meesum hi banaKarbala mein jo bane aisa kirdaar banuMaula,Aaj tak aapki nusrat mein kiya kuch bhi nahiMere daaman mein gunaho ke siwa kuch bhi nahiAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)2. Kab hai Buzar ki tarha, kab hai Qambar ka hashamGarche maujood nahi hum mein Salmaan ka damPisar e Fatema, dil mein hai shaah ka ghumAapke jadd ki qasam haan azadaar hai humMaula,Aap to aaj bhi mazloom e bila nasir haiMaula hum aapki nusrat ke liye hazir haiAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)3. Teri nusrat mein rahe mera dil meri zabaa'nMaalo shohrat bhi fida, ye zamee'n aur makaa'nPisar e Fatema, jis pe qurbaan ho maaTu ishara to kare tujhpe qurbaan ho jaa'nMaula,Baare sar gosh pe lekar mai kidhar jaungaMaula gar aap na aaye to mai marr jaungaAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)4. Aakhri saas talak aapke saath hai humAapko dekha nahi phir bhi hai ek hi ghumPisar e Fatema, sahib e lauh o qalamMai hu majboor magar jaane maula ki qasamMaula,Kuch nahi chahiye maula mujhe duniya ki sanadYe meri aakhri hichki hai meri aakhri haddAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)5. Yu biche farshe azaa, inke qirdaar baneMaaein zainab ki tarah dil ko mazboot karePisar e Fatema, hum bhi zalim se ladeKhatm ghaibat ho agar, sue kaaba bhi chaleMaula,Ye tamanna hai ke ye jaam shahadat ka piyeMaao'n ne paala hai bacho ko isi din ke liyeAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)6. Muntazir rehte hai hum, hum hai maula ke ghulamNaukri humko mile, hum kare aapke kaamPisar e Fatema, aap par mera salaamDete taane hai adu, hai kaha'n tera imamMaula,Mehr jab parda e ghaibat se nikal aayegaBachke takfiri koi bhi ye kidhar jayegaAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)7. Chhod kar ilm o amal hum p aaya hai zawaalJhooth, gheebat hai ghina, raks iblees ka jaalPisar e Fatema, hum nahi rakhte khayalKyu kamate hi nahi log ye rizq e halaalMaula,Zindagi karb e musalsal se nikal jayegiAap aajaye to duniya ye badal jayegiAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)8. Ashk aankho'n mekn jame, aur paseena hai kahi'nMai yaha'n jaan ba lab, mere maula hai kahi'nPisar e Fatema, malik e arsh o zamee'nUska chehra bhi likha jisko dekha bhi nahiMaula,Mai raha aaj talak isliye zinda maulaEk baar aapka bus dekhlu chehra maulaAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)9. Pyaas phir bhi na bujhi jab chala hai khanjarMaa ki aghosh liye aur tadapta hai pisarPisar e Fatema, kat gaya shaah ka sarTukde tukde hai badan tukde tukde hai jigarMaula,Qasim o akbar o shabbir ka pursa leneAaiye shaam ke darbaar ka badla leneAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)10. Ek bachi ke liye hai tamacho ki sazaChhin gayi baaliya bhi, khoon aankho'n se bahaPisar e Fatema, maayein hai mehwe duaShaam hai girya kuna, hai sakina tanhaMaula,Aaj bhi qaid me hai shahe madina ke liyeMaula aap aajaiye bus aap sakina ke liyeAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)11. Jaane dil jaane jigar koi dhundhe kaiseJungalo mei bhi phira, mujhko maula na milePisar e Fatema, hai kaha maula mereItna rota mai raha khushk aasu bhi hueMaula,Neend aati hai na mujhe aur na mai so sakta huBand darwaze ko hasrat se qamar takta huAajaye naa yabna nabi..Aajaye naa yabna ali..Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.