Akbar tumhe maloom hai kya maang rahe hoTum baap se marne ki reza maang rahe hoIs aalame ghurbat mein tumhe jaane doon kaiseIs dashte musibat mein tumhe jaane doon kaiseIs waqte kayamat mein tumhe jaane doon kaiseAy laal jo tum izn wigaa maang rahe hoTum baap ...Kya guzregi iss baap ke dil par nahin sochaTumne ye meri jaan ali akbar nahin sochaMar jaunga main tujhse bichhad kar nahi sochaTum mujhse zaeefi ka asaa maang rahe hoTum baap ...Dil rota hain nazron se agar door ho betaKis tarha judaai teri manzoor ho betaTum hi meri ankhein ho mera noor ho betaMujhse meri ankhon ki ziya maang rahe hoTum baap ...Duniya se gaya jis ghadi mehboob khuda kaNana ki ziyarat ko tadapta tha nawasaAye laal tujhe is liye khaalik se tha mangaMaqbool huwi meri dua maang rahe hoTum baap ...Islam pe khud apna lahoo rann mein bahaoSine pe sina shaan se maidaan mein khaaoTasweer payambar ki tahe khaak milaoKya is liye marne ki riza maang rahe hoTum baap ...Ek roz tujhe aan k manga tha phuphi neAtthara baras naazon se paala tha phuphi neBeton se bhi zyada tumhe chaha tha phuphi neEhsaan jo zainab ne kiya maang rahe hoTum baap ...Rakhte nahi tum iski khabar aye mere pyareKis darja mohabbat hai teri dil mein humaareNana ki mere shakl hai paikar mein tumhareTum soorate mehboobe khuda maang rahe hoTum baap ...Sar tera bhi jiss waqt chadhega sare naizaHoga sare maidaan juda sar bhi tumharaHum shakle payambar ka gala kaatenge aadaaGoya mere nana ka gala maang rahe hoTum baap ...Baba mujh maloom hai kya maang raha hoonEk baap se marne ki riza maang raha hoonBaba mujhe Amma ne bhi kuch dars diya haiAdabe wafa se mujh aagah kiya haiPehle mein maru aap se wada ye liya haiBuss is liye marn ki riza maang raha hoonEk baap se marne ki riza maang raha hun ...Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hunHai aap to baba bine khaatoon qayamatAur maa hai meri adna si ek pehkare ismatKya sine mein us ke nahin kuch jazbahe ismatMein madare muztar ka kaha maang raha hoonEk baap se marne ki riza maang raha hun ...Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hunBaba mujhe ehwaale dil zaar pata haiHai sakht bohat manzile dushwaar pata haiAur deen ka mushkil mein hai sardaar pata haiYun aap se marne ki riza mangu raha hoonEk baap se marne ki riza mangu raha hun ...baba mujhe maloom hai kya maang raha hunMai Shaer e Hassaas jigar soz hu khursheedmehve gham e shabbir shab o roz hu khurshidaalaam e masaeb se zamee'n doz hu khurshidkashkol me kuch ashq e aza maang raha huEk baap se marne ki riza mangu raha hun ...baba mujhe maloom hai kya maang raha hun
Akbar tumhe maalum hai
Sahibe Aalam · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.