Azadari MediaAzadari Media

Al Madad Sayyada Fatima

Irtaza Jaffri · Poet: Yasir Abbas Shah · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Read in
Al Madad Sayyada Fatima, Al Madad Sayyada FatimaIstighasa Hai Khair-un-NisaAap Ki Hi Raza Hai Raza-e-AliAap Ke Dar Pe Lau Hai Liwa-e-AliMeri Bigri Bana Dein Binaa-e-AliMain Hoon Mushkil Mein Mushkil Kusha-e-AliMera Uqda Bhi Kar Dein KushaAe Meherbaan, Rehmaan Ka WaastaAap Ko Kull-e-Imaan Ka WaastaDaan Ho, Noor-e-Yazdaan Ka WaastaShaan-e-Lu'lu-o-Marjaan Ka WaastaMuntazir Hai Karam Ka GadaIs Ko Rab Ki Razaon Se Bhar DijiyeHal Ataa Ki Ataaon Se Bhar DijiyeNoor Ki Innamaaon Se Bhar DijiyeApne Kun Ki Sadaaon Se Bhar DijiyeDar Pe Hai Kaasa-e-IltijaAap Se Bekason Ki Yeh Faryaad HaiZindagi Hai Kathin, Hum Pe Uftaad HaiAap Ki Hi Madad Rab Ki Imdaad HaiIs Yaqeen Par Duaon Ka Dil Shaad HaiAap Ki Hai Ataa Be-BahaIshq-e-Haider Ka Jazba Salamat RaheShah Ke Gham Ka Musalla Salamat RaheBa-Haya Har Aqeeda Salamat RaheMaaon Behnon Ka Parda Salamat RaheHaasil-e-Aagahi Ho WilaHaath Masroof-e-Maatam Rahein SayyadaChahta Hoon Ke Aankhon Mein Ho AlqamaMeri Saanson Ko Ehsaas Ho Karb KaGham Ho Shabbir Ka Aur Main GhamzadaDil Bana Dein Mira KarbalaAap Yasir Ka Qibla Hain Ta-Ba-AbadAap Karti Nahin Hain Sawaali Ko RaddAap Shaan-e-Samad, Aap Sirr-e-AhadAaj Bhi Aap Se Maangte Hain MadadAnbiya, Auliya, Ausiya

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.