Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Alam sajaawo

Irfan Haider · 2001

Alam sajaawoBicha ke farshe azaaFatema ko yaad karo[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2siyah kapre badan par ho sirf is gham mein,ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein,[libas se hazrate zainul aba ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2kabhi sabil se pani piyo to ye kehkar,me teri pyas pe kurban husain ki dukhtar,[kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2gale mein shale azaa aur hath sino par,alam utha ke chalo yu dahekte sholo par,[jo bekaso pe huwi us jafaa ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2Jula julawo kisi be zabaan ka jab bhi,to yaad karna zara be kasi wo banu ki,[kabhi rubab ki aaho buka ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2ghame husain mila hai tumhe mukadar se,sadaa husain ke matam ki aaye ghar ghar se,[husain husain karo karbela ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2wo jisne din ke khatir luta diya gar ko,khuda ki raah me jisne kataa diya sar ko,[par ho namaaz to us be khataa ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2Alam jo hazrate abbas ka utha te hai,Dile batul se lakho duwae paate hai,[alam ka saye mein awo duwa ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2kabhi ye shoch ke tum dekhna pharere ko,yahi to zainabe muztar ki aas tha logo,[alam ko dekho to us berida ko yaad karo] ×2[Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo] ×2bahen ke samne dulha bane koi bhayi,jo apne bhayi ka sehra na dekhne paye,[usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo] ×2Khuda na khasta kismat ye din jo dikhlaye,Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye,[to hum shabihe nabi ki kazaa ko yaad kare] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.