Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maaPura kardo na ye armaan ali akbar-e-maaLot awo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata rahaLot aane ka jo wada tha wo rulwaata rahaChand lamho(n) ki hu mehmaanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta haiAisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta haiGhar mujhe lagta hai zindaanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Tere hote huwe abaad the raste sareTeergi mei bhi the angan mei chamakte tareZindagi hogayi veeraanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Tu nahi ata to ik khaat hi rawana kardeMere jeene ka yahi eik bahana kardeItna kehna to mera maanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Ab na baba se shikayat hai na amma se gilaMei to beemar hu beemar se rishta kaisaGham ye hai phool phuphi jaanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na theTere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaiseMawt hai samne har aanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahiAb diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahiNatawano(n) ka hai tufanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Koyi jhoka bhi hawa ka jo idhar aata haiMujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata haiBas hai ahat pe lage kaanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Kya kabhi socha bahan dard se roti hongiLot ke aawo to wo qabr me soti hongiHai bohot iska bhi imkaanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawoYa mere jeete huwe apni dulhan ley aawoRakho itna to mera maanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata haiShaam ko ghar me parinda bhi chala aata haiAy meri ghar ki nigehbaanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n)Kya dam-e-marg sirhane na padhoge quranAy mere bolte quraanAli akbar-e-man, lot aawo na watan(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
Ali akbar-e-man
Shahid Baltistani · 2006
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.