Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ali akbaram

Safdar Abbas · 2014

Shabihey payambar AkbarShabihe payambarAye gul e gulzaar ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramPaara e qur'aan ali akbaramMaahey taabaan ali AkbaramAye gul.......1) dilbar e shaah e hudaa geysuwo waaleyDo ghadi rukjaa zaraa Maa key dulaareyAankho me chaaney lagey ghum ke andhereyAb na rahengey Merey ghar ke ujaaleyMaa Teri qurbaan ali akbaramMaahey taabaan ali AkbaramAye gul.....2) aye Merey laqtey jigar aisey na jaawoChaand Sa chehra phupi jaa ko dikhaawoNaazo se jisney tujhey paala hai betaJaaney se pehley zaraa usko manaawoUspey ho ehsaan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul .....3) bhool na paawoongi my Teri jawaaniYaad rakhoongi Teri tashnadahaaniChaand si soorat Teri aur Tera lehjaaSaath rakhoongi sadaa Teri nishaaniMerey dil o Jaan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul......4) aye Merey kadiyal jawaa shakl e payambarAa tujhey dekheygi Maa paas bithaakarZulfey sawaaroon Tera sadqa utaaroonAankho me apni basaawoongi ye manzarAye Merey mehmaan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul.....5) Teri judaayi ka ghum sehti hai sugraaKehta hai dil ghum zadaa rehti hai sugraaTera tha waada usey jaayega leneyLagta hai rokar sadaa deti hai sugraaMy hoo'n pareyshaan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul.....6) sadmey uthaawoongi my mujhko Khabar haiJee nahi paawoongi my mujhko Khabar haiTerey jigar mey sinaa dekheygi maadarZaqm ye khaawoongi my mujhko Khabar haiRoti hoon Har aan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul....7) boli sakina ke Phir milna sakoongiMaarna daaley mujhey Teri judaayiNanhey se haatho ko Phir jodkey boliJaatey ho kyu chorkar aye Merey bhaiHoti hoon Bey Jaan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul......8) bayn ye karti thi Maa safdar o yaawarJaawo na aisey mujhey chorkey AkbarZainab e dilgeer Bhi gash mey padii haiKehtey they dil thaamkey sibtey payambarRabb hai nigehbaan ali akbaramMaahey taabaan ali akbaramAye gul......

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.