Akbar, Akbar..(2)Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allah, Allahu AkbarSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'nAkhri fajar hai yeh..(2)is moaazin ke liye, phir yeh awaaz kaha'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n1. Dasht mein pyaase moazzan ne, jo takbeer kahiAagayi apne musalle pe, Ali ki betiYaad phir aayi use, Apne Baba ki azaa'nro padi aun ki maaSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n2. Abhi kuch der salamat hai, haram Ka pardaSham ke waqt jab ayegi, azaano ki sadaaJaa'n bachane ke liye, sar chupane ke liyechadarein hongi kaha'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n3. Roke bete ne kaha baap se, hasrat hai meriAap ki behen to sun leingi, sadaa Akbar kiIn hawaon se kahein, rukh madine Ka kareinmeri sughra hai waha'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'nAsh hadu anna mohammad ar rasoolallah4. Naam aaya jo Mohammad ka, to roye maulaInna lillah padha aur yeh ghazi se kahaIs ko maarenge sinaa, yeh musalmaan bhalarehem khayenge kaha'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'nAsh hadu anna ameer al mo'mineena wa imam al muttaqeenaaliyun hujjatullah...5. Aaya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kahaMai fida aap pe Baba meri aulaad fidaaTeer Asghar ke lage, seena Akbar ka chidemujh pe khanjar ho rawa'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n6. Kitna tadpega Hussain ibn e Ali aye betaTeri maa, teri phuphi, teri sakina, sughraJee nahi payeinge sabhi, tujh ko barchi Jo lagitujh mein hum sabki hai jaa'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n7. Masjid e kufa nazar aane lagi karbobalado azano pe bohot royi, hai bint e zehraAaj tak bhooli nahi, ek baba ki azaa'nek Akbar ki azaa'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n8. Kis qadar dard mein doobi thi sadaa Akbar kigash se uth kar kaha Sajjad ne batlayein phuphiSub kyu rote hai yaha'n, shor hai kaisa bapaakaun deta hai azaa'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'n9. Kaise manzar ho bhala mir takallum ho raqambaab e sa'at pe hui satra(17) azane jis damSun ke ek-ek azaa'n, ro ke kehti thi wo maamere Akbar ho kaha'nSubh e ashura hui, maa ne ro ro ke suniAli Akbar ki azaa'nAllahu Akbar..
Ali Akber Ki Azaan
Mir Hasan Mir · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.