Ali ali ali ali ali..(4)Hai kayenaat me..(2)tauheed ki jo shamma jaliUsi ke noor ka..(2)jalwa hai mustafa o aliAli imam e man asto manam ghulam e ali..(2)1. Karam khuda ka hua hogaye wo shere khudabahaduri me koi hai kahan ali jaisa..(2)hasan husain ke baba..(2)wo janesaar e nabi2. Mila jo hukm e ilahi buto'n ko tha dhayakhuda ne taaje wilayat inhi ko pehnaya..(2)ali ka ghar hai jahan..(2)aale mustafa hai pali3. Hua ishara e haider gira dare khaibarshikare teghe ali the jo marhabo antar..(2)misaale balk wo..(2)maidaa'n me zulfiqar chali4. Ali wali hai mujahid hai shere yazdaa'n haihuzoor ne ye kaha tha wo kulle eemaa'n hai..(2)haq unke saath hamesha..(2)aur uske saath ali5. Kisi ne martaba e buturaab kab jaanafaqat khuda o nabi ne ali ko pehchana..(2)jo puchna hai to pucho..(2)inhi se kya hai ali6. Na dusra hai ali aur na koi aisa jarina aasmaan ne dekha zamee pe aisa sakhi..(2)na khali haath gaya..(2)koi jiske darr se kabhi7. Khitaab ho ke bayaa hai wo marefat ka nishaali ki danish o hikmat hai faislo se ayaa..(2)hai lazawal riwayat..(2)jaha'n me adl e ali8. Agar kahi koi banda ho mushkilo me ghiramadad ko aate hai maula ali ba hukm e khuda..(2)abhi jo koi pukare..(2)madad ko aaye abhi9. Khuda hai maula to 'safdar' hai mustafa maulanabi ne khum me kaha tha ke hai ali maula..(2)nabi hai jiske bhi maula..(2)kamaal usike aliAli imam e man asto manam ghulam e ali..(2)Ali ali ali ali ali..(2)
Ali imam e man asto manam ghulam e ali
Ali Safdar · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.