Ya ali, ali ali ali ali, ya aliMusibat ke badal, juhi sar pe chaaye, ali yaadaaye ali yaad aayeBhula baithe jab saare apne paraaye…1. Har ek kehkashaa(n) mein hai unka hijalwaMaho mehr mein bhi ali ko hi dekhaSitaare sare arsh jab jhil milaaye…2. Udoo ko bhi mushkil se jis ne churayaHalakat se kitno ko jisne bachayaKoi jaan kar usko jitna bulaaye…3. Payambar ne hare k ko jab aazmayaKoi bhi na khaybar ka dar tod paayaSabhi hoke na kaam jab lawt aaye…4. Ali ki wilayat ka munkir huwa thaTujhe zikr e haider buraa lag raha thaQayamat mein sajde na jab kaam aaye…5. Sare khum bhari dopehr mein ali koRasool e khuda ne yu(n) mola banayaKe jab bhi koi haaji saaye mein jaaye…6. Jo sidra ki manzil pe pohnche payambarKoi haath parde se nikla jo baaharAnghuti ko dekha nabi muskuraaye…7. Sitamghaar ka halq chilne laga thaKe haybat se darbaar hilne laga thaAli ki jo beti ne khutbe sunaaye…8. Rasool e khuda se dua mil gayi haiHassan ko najaf ki fazaa mil gayi haiJo ash-aar Imran tu ne sunaaye…
Ali yaad aaye
Imran Datoo · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.