Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Allah jaane kaha

Nadeem Sarwar · 2005

Allah jaane kahaJab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko. Ik aan na rahat ki na araam haram ko. Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se [Zindaan larazta tha] ×2 Sakina ki fugha se[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Baba kitni rate guzar gayi babaAllah jaane, kaha ho ay baba[Chote se sin mei qaydi zindaan hogayi] ×3[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Din mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaa(n)Kisko kahu(n) mei baap mere, baap hai kahaa(n)Tum bekafan mei besaro samaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Kya kya na khalq karne hakarat se behgayiMei bekasi se dekhke muh sabka rehgayiKurta phata huwa meri pehchaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Dar aah ki to shimr pukara khamosh hoAur chup huwi to be padari ne kaha ke roIn afato mei girse pareshaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaayeJo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataayeShehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Sadke gayi bataawo kaha hai mere padarAaye padar to jaaye Sakina bhi apne gharKyu aise zalimo(n) ki mei mehman hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Poti hu(n) uski jo ke hai kohnain ka ameerJisne hazaro qayd se churwaaye diyey aseerUmmat nabi ki dekhke anjaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne phiri nazarChillaayi roke haye gazab mar gaye padarBaba ke sar ko dekhke hayraan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaarSadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waarNanhi si jaan jaan se bejaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Bas ay "Anees" bazm mei hai giryaa-o-bukaSadiyo(n) talak rulaayenga sabko ye marsiyaBali Sakina qarb ka unhwaan hogayi[Baba mei kyu na aap pe] ×2 qurbaan hogayi[Allah jaane, kaha ho ay baba] ×2Baba kitni rate guzar gayi babaAllah jaane, kaha ho ay baba

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.