Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Allahummar zuqni

Imran Mehdi · 2013

Husain(as) Ya Husain(as)..(2)Assalaamo a'lal Husain(as)..Wa a'laa Ali ibnal Husain(as)..Wa a'laa As'haabil Husain(as)..Wa a'laa Aulaadil Husain(as)..Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)Rabbil Husain(as).....Rabb-e-Husain(as) Rabb-e-Mohamamd(saww) wa Murtaza(as)Behaqq-e-Fatema(sa) o Hasan(as) hai yehi duaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)1) Khaaliq hamare qalb ko raahat nasaeb ho..(2)Yaani hume bhi Uski shiaafa'at naseeb hoHaa'n wo jo Hukmraan..(2) hai dono jahaan kaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)2) Mehshar k roz is tarha saabit qadam chalu'n..(2)Humraah mai Husain(as) k ash'aab k rahu'nShabbir(as) par jinhone..(2) kiye jaan-o-tan fidaaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)3) Wo roz jab k Maula(as) hisaab-o-kitaab ho..(2)Har ek sawaal par mera ek hi jawaab hoMai maatami hu mera..(2) hawaala hai KarbalaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)4) Haa'n Wo Husain(as) Wo jo Mohammad(saww) ka hai pisar..(2)Saaya hai Jiska misl-e-shajar do jahaan parHar ek dil pe ab bhi..(2) hukumat hai kar rahaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)5) Baaqi hai jisse aaj ibaadat ka tazkera..(2)Wo jisne Karbala ko mo'alla bana diyaJalta hai Jisse aaj..(2) bhi Tauheed ka diyaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)6) Wo Jisne bandagi ka diya hai hume sha'oor..(2)Jisne milaaya khaak mein shaahi ka sab ghuroorMazloom ko jahaan mein..(2) jeena sikha diyaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)7) Khanjar tale bhi sajda-e-Khaaliq adaa kiya..(2)Deen-e-Khuda pe Jisne bhara ghar luta diyaKehta hai jisko aaj..(2) jahaa'n sabr ka KhudaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)8) Rab se karo dua yehi "Salman Azmi"..(2)Jab tak badan mein jaan hai nauha likho yun'hiMadfan k waaste..(2) mile "Imran" KarbalaAllahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)..............Shukr-e-Maula(as)..............

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.