Vaaqiya huva aisa alqama ke saahil parVaaqiya huva aisa alqama ke saahil parShah ne kaha mujh ko karbala ko jaana haiZuljanaah bas wo hi aakharee thikaana haiJald ab mujhe leja alqama ke saahil parPhool jaise jismoñ par sakht barchhiyañ khaaneKufr ke shikanje se deen e haq ko chhudvaaneKaaravañ ruka sheh ka alqama ke saahil parQatle ibn e haider ki aarazoo liye dil meiñBaadaloñ ki tarha se ubhriñ shaam ki faujeiñAa ke shaah ko ghera alqama ke saahil parZaalimoñ ne syed par band kar diya paaniTeen din talak unko bund na mila paaniQaafila raha pyasa alqama ke saahil parSher ek alam waala mashk le ke nikla thaAnginat laenoñ meiñ gir gaya akela thaUsko gher kar maara alqama ke saahil parSharm na zara si ki faatema ke bete kiJisko jitna ji chaaha utni barchhiyañ maariZeen se gira mola alqama ke saahil parYakbayak bayabañ meiñ chaa gayi siyaah aandhiAasamañ se khooñ barsa or zameen tharrayiTha samañ qayamat ka alqama ke saahil parJaane kya chhupaaya tha rab ne us ki mitti meiñKhooñ mila diya apna sab ne us ki mitti meiñBas gayi nayi duniya alqama ke saahil parJab ke deen ka beda doob ta nazar aayaNakhuda bana uska tab batool ka jaayaOr usko le aaya alqama ke saahil parHo hasan ki qismat par bhi tera karam etnaTere paak zawwaroñ meiñ shumaar ho uskaKab bulaaoge mola alqama ke saahil par
alqama ke saahil par
Hassan Abbas Hamid · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.