Alvidaa shehzada-e-QasimAlwidaa Shehzada-e-Qasim AlwidaaSaji Huwi Hai Karbala, Jaao Tumhe Allah Ko Sompa, Magar,Ab Kisse Kehke Bulaunga Mai Tasweer-e-HassanAlwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Zainab-e-Khasta Jigar, Aur Kulsum-e-HazeenHoke Masruf-e-Bukaa, Ghash Pe Ghash Khaane LagiRoke Kehti Hai Phuphi, Ay Mere Sher-e-JawaanIzne Dekho Na Akhi, Ay Mere Sher-e-JawaanTu Sifarish Ke Liye Laaya Jo Tawiz-e-Hassan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Bhai Shabbar Ki Mere, Ik Nishaani Tum HoKaise Marne Ke Liye, Bhejdun Mai TumkoTumhi Akber Ho Mere, Ay Mere Sher-e-JawaanTumhi Lashkar Ho Mere, Ay Mere Sher-e-JawaanSang Iss Dil Pe Rakhaa Phir Yeh Kiye Maine Sukhan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Dediya Izne-Wighaa, Thaam Ke Qalbo-JigarTum Bhi Hojaao Judaa, Ay Mere Nure-NazarJaao Hafiz Hai Khuda, Ay Mere Sher-e-JawaanRoke Sarwar Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-JawaanAlwidaa Tujhko Kahaa, Hone Lagi Dil Mei Chubhan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Maa Ke Armaan Hai Kya, Yeh Nahin Socha KabhiKya Hai Behnon Ki Dua, Yeh Nahin Socha KabhiTum Jo Marne Ko Chale, Ay Mere Sher-e-JawaanZakhm-e-Dil Gehre Huwe, Ay Mere Sher-e-JawaanBewaa Lagne Lagi Yeh Kehte Hii Ik Shab Ki Dulhan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Maardalega Mujhe, Teri Furqat Ka Yeh GhamTu Suwe Dasht Na Jaa, Tujhko Sughra Ki QasamWaqt Yeh Kaisa Padaa, Ay Mere Sher-e-JawaanJo Ho Manzur-e-Khudaa, Ay Mere Sher-e-JawaanDasht Se Laaunga Gathri Mei Tera Tukde Badan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Ban Mei Jab Jaaoge Tum, Yeh Toh Mujhko Hai KhabarTan Se Kardoge Judaa, Arzaqe Shaami Ka SarHai Magar Yeh Bhi Yaqee(n), Ay Mere Sher-e-JawaanTujhko Gheirenge Laee(n), Ay Mere Shere-e-JawaanHaaye Hojaaega Paamaal Yeh Naazuk Sa Badan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Dashte Ghurpat Pe Mujhe, Sab Ke Sab ChhodgayeAur Shahadat Ke Liye, Tum Qamar Bastaa HuweMeri Mayyat Ke Liye, Ay Mere Sher-e-JawaanChaar Kaandhe Na Rahe, Ay Mere Sher-e-JawaanAb Yaqee(n) Hogaya Rehjaaunga Begoro Kafan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Dekh Maadar Ki Taraf, Kaisi Karti Hai BukaaAankh Mei Dajlaae Gham, Aur Honton Pe SadaaDekh Marjaaye Na Maa(n), Ay Mere Sher-e-JawaanKaise Bhejun Me Wahaa(n), Ay Mere Sher-e-JawaanTu Jahaan Jaane Ko Kehta Hai Woh Hai Mawt Ka Ban[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×2Roke "Mazhar" Ne Kahaa, Yeh Hai "Irfan"-e-AzaJab Tasawwur Mei Gaya, Mera Dil Qaamp UthhaKaise Maula Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-JawaanJaa Sue Dashte-Qazaa, Ay Mere Sher-e-JawaanAaj Bhi Rota Hu(n) Jab Honton Pe Aata Hai Sukhan[Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan] ×3
Alvidaa shehzada-e-Qasim
Irfan Haider · 2008
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.