Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Alwida Madeena Alwida

Hasan Abbas · 2022

Alwida Madeena...(2)(Laut kar na hoga ab hamara aanaAlwida madeena alwida madeena)...(3)Aaj phirse nahaq ne hai sar uthayaDeen e haq ka beda mushkiloñ meiñ aaya...(2)Paar hai lagaana deen ka safeenaAlwida madeena alwida madeenaHai taweel rasta garmiyoñ ka mausamHoga har qadam par ab ghamoñ ka aalam...(2)Phir bhi aik waada hai mujhe nibhaanaAlwida madeena alwida madeenaChhod kar chale haiñ ham mazaare zahraHo na jaaye soona mustafa ka roza...(2)Roz meri jaanib se diye jalaanaAlwida madeena alwida madeenaHaq pe hi jiya huñ haq pe hi marungaBaiyat e yazeedi maiñ nahiñ karunga...(2)Chaahe laakh kar le zulm ye zamaanaAlwida madeena alwida madeenaDaanv par lagi hai ambiya ki mehnatLaaelaah ko hai khoon ki zaroorat...(2)Shamma e hidayat hai mujhe jalaanaAlwida madeena alwida madeenaIntezaar sadiyoñ se wo kar raha haiKarbala ka sehra de raha sada hai...(2)Ab wo hi hai manzil ab wo hi thikaanaAlwida madeena alwida madeenaBhool wo gaye ke kiske haiñ nawaaseShaam ke qasaae haiñ lahoo ke pyaase...(2)Ghar bhi hai lutaana sar bhi hai kataanaAlwida madeena alwida madeenaYe mera qabeela ab wahiñ basegaKarbala ke ban meiñ hashr tak rahega...(2)Qabr par hamaari tum zaroor aanaAlwida madeena alwida madeenaYaad ham ko aayengi ye paak galiyañHaashami mohalla or saari khushiyañ...(2)Maiñ nahiñ bhulunga tu bhi na bhulaanaAlwida madeena alwida madeenaAye 'hasan' chala jab saiyadoñ ka kunbaRo rahi thi basti ro raha tha rasta...(2)Ro ke har qadam par sheh ka kehte jaanaAlwida madeena alwida madeena(Laut kar na hoga ab hamara aanaAlwida madeena alwida madeena)...(3)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.