Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Amma baar baar

Nadeem Sarwar · 1998

Amma baar baarZindane Shaam me jaha, bibi ka hai mazarRaato ko dhimi dhimi si aati hai ek pukarKano se mere khoon x2Abhi bhi tapakta hai, amma baar baar x3Amma baar baar gala mera dookhta hai amma baar baarUthti hai jab bhi aap x2Mera saas rukta hai, amma baar baarHaa, amma baar baar.Soyi nahi hoo shaame gariba ke baad mainAb kya jiungi shaam ke zindan ke baad mainBe aas ab hoon shahe shahida ke baad mainSaya azal ka amma mere sath chalta haiAmma baar baar.Kano ka khoon aankhon ke aansu se mil gayaHar zakhm phool banke badan par hai khil gayaBaba ko dhoond laoon ke seenese dil gayaBe jaan mere jism main kyun dil dharakta haiAmma baar baar.Ay amma jab se baba se main door ho gayiYe zindagi mere liye naasoor ho gayiPar kya karoon naseeb se majboor ho gayiHijre padar se seene me ek dard uthta haiAmma baar baar..Kante pare hai halq main ay amma pyaas seDarti hoon jhonka guzre hawa ka jo paas seNeend urgayi hai aankhon se khawfo hiras seRone pe mere shimr layeen kyun jhirakta haiAmma baar baarAsgar ke bad paan piyoo main nahi nahiAmmu ke baad zinda rahoon main nahi nahiFariyaad kuch shaki se karoon main nahi nahiPaan main ab se chehraye asgar jhalakta haiAmma baar baar..Lagta hai qaid jan se rihayi qarib haiAi amma jano tum se rihayi qarib haiAb mout mujhko kabr ke laayi qarib haiDaman to jal chuka hai mera dil sulagta haiAmma baar baar..Kounain mai ye kaisa hai qanoon poochiyeMarne ke baad mujhko rihayi nahin mileYe kaisi qaid hai ke lahad bhi yahin baneQaidi kabhi to qaid se ghar ko palat ta haiAmma baar baar.Amma rehai paake watan tum to jaaongiSugra meri bahan ko gale se lagaaongiPuchengi jab mujhe to use kya batawoongiReh reh ke ek sawal mere dil mai uthta haiAmma baar baar.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.