Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Amma Madad Karo

Shahid Baltistani · 2020

Haye haye ali akbar..(3)Haaye!!!Barchi nikaal ne lage jab shah e karbalaawaaz maa ko deke ye mazloom ne kahahai aap ke hussain ki ghurbat ka imtehaa'nAmma madad karo..Kaise nikalu seena e akbar se mai sinaAmma madad karo..Hai aapke hussain ki ghurbat ka imtehaa'nAmma madad karo..Kaise nikalu seena e akbar se mai sinaAmma madad karo..1. Bardaasht kis tarha se ye kar payega hussainbete ke saath dasht mein mar jayega hussainkadiyal jawaa'n ragadta hai maqtal mein ediyaa'nAmma madad karo..2. Afsos aa na paaya mai usko utarnezee'n se gira diya ise naize ke waar netooti hai aap ki tarha akbar ki pasliyaa'nhaye, amma madad karo..3. Akbar ke saath saath mera dil bhi chhid gayauth ta nahi hai haath tumhare ghareeb kapehle mere kaleje se tum khaich lo sinaAmma madad karo..4. Paala hai jisne naazo se hai intezaar meinchadar na bhool jaye wo akbar ke pyaar meinzainab ko rok lo kahi'n aa jaye na yaha'nAmma madad karo..5. Aati hai sharm baap ko bete ke saamneaankho'n pe rakh do haath dikhayi na de isehaye, rote za'eef baap ko dekhe na naujawaa'nAmma madad karo..6. Amma ghadi ye kaisi ajab imteha'n ki haido bekaso ke haath mein mayyat jawa'n ki haipehlu shikasta aap ka, meri kamar kamaa'nAmma madad karo..7. Tooti hui kamar hai meri, mera saath domai chahta hu khaime mein akbar ko le chalozinda na dekh le ise, ek baar iski maaAmma madad karo..8. Pohcha ke laash khaime takallum ki ye sadaazainab jo mujhse puchegi, kya mai bataungimujhse na hogi tum hi shahadat karo bayaa'nAmma madad karo..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.