Shabbir Roke kehte the Amma Tumhare Baad Pursaane Haal Koi na Hoga Yateem KaShabbir Padhte The ye marsiya amma na jaao hame chhoRke Na hum jii sakenge tumhaare bina, Amma na jaao humme choRke1Chhin jayega aaj bachpan mera Ab naaz mere uthayega konDhayega jab koi zulmo sitam Aanchal me mujko chhupaega konTanhaiyoñ ki milegi saza2Kitni aziyat mein kaate hain dinPehlu shikasta bataya nahiHumse chupati rahin apne ghamBaba ko bhi kuch jataya nahiHye Mera mohsin Bhi maara gaya3Baazu pe ubhre haiñ neele nishaañTumne aziyat bahut hai sahiBachoñ ko zakhmoñ mein paala bhi haiAaraam tumne na paaya kabhiLab par na aaya kabhi bhi gila4Sone ko aankheiñ karuñga jo band,Aankhoñ mein manzar wo chha jayega,Darwaza girna, wo Haalat teri,Khauf aur gham mujhko tarpayega,Sone na degi ghamoñ ki faza.5Guzrunga jab is jale dar se main,Dil mera reh reh ke tarpayega,Pehlu pe darwaza girne ka ghamHar ek pal mujhko yaad aayegaHai qatl-gaah ki yahi ibtida6Qaatil tumhara ho jis raah parUs raah par ham na chal payengeBhayya hasan us gali me kabhiMud kar dubara nahi jayengeLeti ho bachho se kaisi wida7Tooti hui pasliyoñ ki qasam,Baba pe ye jaañ lutayenge hum,Karbal ki tapti hui ret par,Parcham wila ka uthayenge hum,Ta-Shaam Zainab ki hogi sada8Rote ho beta na ghabraao tumKarbobala me bhi aayegi maañZakhmo se chhalni jo hoga badanSeene se tujhko lagayegi maañAye laal do na mujhe ye sada9Aashoor ki wo ghadi aa gayi Rizwan o Asim Suno MaajraShabbir Ke Qatl Ko Jis GhadiApne Kisi Se Na Dekha GayaTab Ro Ke Shabbir ne Ye Kaha Amma na jaao hame chhorke
Amma Na Jao Humey Chordke
Rizwan Rizvi · Poet: Asim Aijaz Abidi · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.