Apne markaz pe..Apne markaz pe khada ashk bahaega husainAmma jab tak na bulaogi na aaega husain..(4)1. Roke sarwar ne kaha aankh to kholo ammaitni khamosh ho kyu mujhse to bolo ammayaad nana ki jo aai hai to rolo ammathak gai ho to zara der ko solo ammaApne markaz pe..2. Mujhse baba ka sisakna nahi dekha jaataghumzada bhai ka girya nahi dekha jaataab to kulsoom ka rona nahi dekha jaatamujhse zainab ka tadapna nahi dekha jaataApne markaz pe..3. Ashk aalood fiza ghum ki ghata chhai haihar kali gulshane islaam ki murjhai haihaye kis mod pe taqdeer hame laai haiaale ahmed pe musibat ki ghadi aai haiApne markaz pe..4. Kaun baba ko masaeb me dilasa degahum ghareebo ko bhala kaun sahara degabehre ghum kaise safeene ko kanara degadhyaan har haal me yu kaun hamara degaApne markaz pe..5. Abhi nana ki judai ka alam taaza haifurqate rehmate kaunain ka ghum taaza haiqalbe muztar me ghume shahe umam taaza haiab aseero pe falak ka ye sitam taaza haiApne markaz pe..6. Sunke muztar ki fugha charke kuhan kaanp uthaqalbe kaunain basad ranjo mehen kaanp uthaqabre athar me payambar ka badan kaanp uthakehte kehte shahe wala ka sukhan kaanp uthaApne markaz pe..7. Sunke sarwar ka sukhan bande kafan toot gayaroohe zehra hui bechain falak tharrayahaath phailake zakiya ne hasan farmayaaa gale lag ja mere ab na ye kehna betaApne markaz pe..
Apne markaz pe khada ashk bahaega husain
Miscellaneous · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.