Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Arzu-e-karbala

Farhan · 2002

Arzu-e-karbala[Jaraha Hoon Jaraha Hoon] ×2[Karbala] ×4Jaraha Ho Karbala Main Jarha Hoon Karbala Main[Mominon Mil Kar Chalo] ×2 Yeh Hai Hussaini Qafla[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Farz Hai Ganj-e-Shahidan Ki Ziarat Is TarhaFarz Quraan Ki Tilawat Aur Ibadat Jis TarhaKarbalal Ghum Ka Madina Karbala Kaaba Numa[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Woh Zamin Jo Mool Li Thi Syed-e-Abrar(a.s.) NayUs Zamin Par Sheh(a.s.) Ko Mara Shimr-e-Bad Atwar NayUs Zamin Ki Khaak Ko Sheh(a.s.) Nay Kia Khaak-e-Shifa[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Karbala Kia Hai Moalla Adam(a.s.)-o-Eesa(a.s.) Ka HaiKarbala Dar-Ul-Khilafa Khum Kay Us Mola(a.s.) Ka HaiJo Kay Hai Nafs-e-Payambar(s.a.w.w.) Jo Kay Hai Sher-e-Khuda(a.s.)[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Yeh Zamin Woh Hai Jahan Sota Hai Zehra(s.a.) Ka PisarAmbia(a.s.) Kartay Hain Sajda Ab Bhi Us Ki Khaak ParApnay Bachchon Kay Liey Mehw-e-Fughaan Hain Syeda(s.a.)[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Gardan-e-Shabbir(a.s.) Par Khanjar Chala Tha Jis JagahSeena-e-Akbar(a.s.) Mein Naiza Tha Jahan Toota HuaGulshan-e-Zehra(s.a.) Kay Gul Bootay Jahan Hain Ja Baja[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Roza-e-Abbas(a.s.) Par Jakar Azadari KareinRoza-e-Shabbir(a.s.) Par Aankhon Say Khoon Jaari KareinAlqama Peh Jakay Piyason(a.s.) Ki Karein Majlis Bapa[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2Haaey Woh Shaam-e-Ghariban Jis Mein Zainab(s.a.) Lut GaiBaap Say Baali Sakina(s.a.) Beton(a.s.) Say Maan(s.a.) Chut GaiAsghar(a.s.)-e-Maasoom Ka Jis Dasht Mein Jhoola Jala[Nauha Parhho Matam Karo] ×2 [Hussain Ya Hussain] ×2 [Jaraha Ho Karbala Main] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.