Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,mere lehje me hai, baba teri adanaam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n)(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2babajaan me rida mangti rehgayi,bamo dar saj gaye, jiteji margayi,halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n)(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe haihar nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2shaam ashur se, shamo kufa talak,mene manga nahi hai kharaje fadak,meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2babajaan ye tera akhri tha bayan,teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n)[Abbas] ×9ruk na paya mere bawafa ka wo sar,noke neza se aane laga khaak par,behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe haihar nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,misle zahra khari hu(n) me aghyar me,us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2Aysa khutba diya mene darbar me,Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
Ay mere babajaan, horahi hai azaa
Shahid Baltistani · 2006
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.