Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai

Miscellaneous · 2014

Ay momeeno kya sakhth yateemee ki bala haiIs zakhm ka marham hai na is ghamki dawa haiPocho tho yatheemon se ke ye wakhiya kya haiKis omr me ye dhaag Sakina ko mila hai - jawabJab khatimaye shahe sarafraaz howa thaLikha haike chautha baras aaghaaz howa tha - jawab2)    Issin me koyi baap juda hona pisar seFurqath howi tifli me Sakina ko pidar sePooche koyi ye dard yateemeon ke jigar seBachpan me pidar otha ho jin bacheon ke sar se - jawabAaghaz is andhoka anjaame khaza haiYe daaghe yateemee nahi paighame ghaza hai - jawab3)     Zindan me mukhiyaad jo howe sab harame shahAnboho khalaekh howa darwaze pe nagahBalwa howa is darja ke masdood howi rahSar sharm se zanjeer pe Abid ne rakha ah - jawabTha wo arakhe sharm aseereon ke badan meRotha tha har ek azoo ghame shahe zaman me - jawab4)     Mashghool jo the khail me athfaal wo saareKahthi thi Sakina wahan hasrath se nazareKehthi thi ke kya hogaye hamjoli hamareBaba Ali Asghar ko kahan leke sidhare - jawabSab bachche yahan khailthe hain khanda zana haiMe khailthi thi jinse wo athfaal kahan hai - jawab5)     Bhar bhar ke dame sard ye ki bano se gufthaarIs bachche ko dekho thoke kya khush hai ye dildaarKya naame pidar pyaar se letha hai har ek baarEk ham hai ke hai baap ki furkhat me girafthar - jawabDil me jo mere dard hai khaliq pe ayan haiMai kisko kaheon baap mera baap kahan hai - jawab6)     Baba mere hothe tho onhe kehthi mai babaAb baap kahan jisko kaheon baap me dukhiyaYon koyi pidar se beti se ghafil nahi hothaHairaan heon baba ke wo ashfaaq howe kya - jawabAada ne hame qaid kiya shaam me lakarBaba mere kyon mujhko nahi dhoondthe akar - jawab7)     Ye kehke Sakina pe jo rikhath howi taariBas haaye pidar kehke kayi baar pukariTadpi jo zamee par tho zamee hil gayi saariJhinjhlake kaha shumr ne phir karthi hai zaari - jawabAb khoob rulaeonga tujhe mai na dareongaReh tujhko aseereon se juda qaid karonga - jawab8)     Phir shumr ne bazooye Sakina ko jo pakdaKunbe ki taraf osne ajab yaas se dekhaSab khaidiyon me ek khiyamath howi barpaSajjad ke khadmeon pe machal kar giri dukhiya - jawabYon lipti thi bhayi se wo is khaofo khathar meEk haath tho gardan me tha ek hath kamar me - jawab9)     Meon dekhke Sajjad ka kehthi thi wo darkarAb aap mere roneke zamin heon baratherGartumse choti zeesth meri hoegi kyonkarAb roeon tho jo chahe kare shumre sithamgar - jawabBhaiya mujhe tho shumrse is waqt bachaleAb royon tho kardeejio zalim ke hawale - jawab10)     Ab royi so mai royi na ab roeongi zinharAb roeon agar baap ko apne tho gunahgaarFarmao ke ab chod de mujhko ye jafakaarBaazoo mera dukhne laga ay Abide beemar - jawabKistarah juda kunbe se howegi SakinaTum kehdo khasam khake na royegi Sakina - jawab11)     Ye kehthi thi kheencha jo sithamgar ne khazaraKurtha tho phata tha wo phata aur bhi saraTab Abide beemar ne rokar ye pukaraAy shumr ye bin baap ki bachchi hai khudara - jawabGhafil teri dehshath se na howegi SakinaAb aisi dari hai ke na royegi Sakina - jawab

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.