Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye baba husaina

Irfan Haider · 2018

(Shaam e ghariba'n) ..(2)Aye Shaam e ghariba'nJab Shaam e ghariba'n me yaad e padar aayiAur ghabrake SAKINA sare maqtal chali aayiDaaman tha jala aur labo'n par tha yeh nauha(Aye Baba HUSSAINA) ..(2)(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINA(1) Hain aap jaha baba, mujhko bula lijiyeEk baar mujhe, apne seene pe sula lijiyeBin aap ke duniya me bekaar hai yeh jeena(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINA(2) Hain kaan mere zakhmi, aur khoon bhi hain jaariKhaymo'n ki, ridaaon ki, karti hu AzadariKuch der sukoon pau, mil jao agar Baba(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINA(3) Kis samt tumhe dhundhu, maqtal me bhatakti huBaba ki samajhkar mai, har laash pe girti huImdaad karo meri, batlao mujhe rasta(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) .. (2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINA(4) Kuch der lipatkar main, bas aapke laashe seWoh dard sunaugi, baad aapke jo payeHar baat batau main, mil jaye agar lasha(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINA(5) Is dasht me roti hu, sab chahne walo'n koHar samt andhera hai, tarsi hu ujalo'n koBaad apke aye Baba, taareek hai yeh duniya(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINA (S.A)Ayna ayna aye Baba HUSSAINA(6) SHABBIR  ke nauhe se, phir gunj utha sehraHo tere masaeb par, qurban tera BabaEk teer laga dil par, sunkar yeh tera girya(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINA(7) Irfan bhi rota hain, is baat pe Mazhar bhiRoti thi SAKINA bhi, aur lashaye sarwar bhiAwaaz e padar sunkar, us samt chali dukhiya(Ayna ayna aye Baba HUSSAINA) ..(2)Roti hain SAKINA, pyaasi hain SAKINAAyna ayna aye Baba HUSSAINAaye Baba HUSSAINA..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.