Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye chand karbala ke

Shaheed Sibte Jafar · 2010

ay chand karbala ke, tu ne to dekhe hongayutray thay is zameen par, arshay bari ke taareay chand jalwagar hai hashim ka chand yan parkhairaat roshni ki lelijiyo yahan seay chand....ay chand is zameen par rakhiyo hamesha thandaqsotay jo hai yahan par zehra ke hai ye pyareay chand....tasleem-o-salsabeelo kausar ke hai ye maalikmaare gaye jo pyase is nehr ke kanareay chand....hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibbamaare gaye yaheen par ansaar shahe deen keay chand....maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam sezainab ke dono pyare muslim ke dono beteay chand....pamaal ho rahi thi qasim ki laash ran mayabbas aur sarwar chunte thay unke tukdayay chand....baazu katay yaheen par abbas-e-bawafa keizne wagha na paaya pani bhi laa na paayeay chand....is sar zameen pa guzra sarwar pa ye bhi sadmaseene pa khaayi barchi hamshakle mustufa neay chand....pani pilaane laaye ek mehlaka ko sarwarki ghazab hurmula ne teere sitam lagaakeay chand....gardan chidi pisar ki baazu chida padar kadono tadap tadap kar pyase jahan se guzreay chand....is ban may ek bachi baba ko dhoondti thibikhre huwe paday thay jab sar bureeda laasharay chand....phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachiseene pa so rahi thi besar padar se lipteay chand....baazu bandhay yaheen per pehle pahal haram keis sar zameen se niklay sajjad sar jhukayeay chand....shehzadaye jina hi maalik hai karbala kakiski majaal aaye jab tak na wo bulaayeay chand....pahuncha hai karbala may nacheez sibte jafaray kaash ke muqaddar humko ye din dikhayeay chand....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.