Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye chand moharram ke

Meesum Abbas · 2023

Sog Mai Doobi Saari Fiza... Ya Hussain!Ghar Ghar Mai Matam Hai Bapa... Ya Hussain!Aya Nazar Jab Mah e Aza, Ro Ro Ke Azadaro Ne KahaAey chand muharram ke tu badli may chala jaTujhay dekh kay mar jaaye na beemar hay Sughra1) Ghar Zehra ka lutnai ki khabar tu nay sunaiTujhay dekh kay roti hay Muharram main khudaiChauda so baras beetay (x2) sab kertay hain shikwa2) Milnay kay liye bhai ko baichayn badi hayKab say Ali Akber ki yeh rahoon main khadi hayBichdi hay yeh muddat say (x2) issay tu na nazar aa3) Bhayya ki judai main paraishaan hay rehtiHar roz yeh nana ko ro ro kay hay kehtiAkbar na mila nana (x2) may mar jaun gi tanha4) Wada Jo Kiya Behen Ko Seene Se Lagakar,Mai Shaadi Karoonga To Tere Paas Hi AakarMai Saat Moharram Ko Lautoonga Na Ghabra5) Behno Ka To Bhai Se Rishta Hi Ajab HaiTum Bhool Gaye Mujhko Ye Kaisa Ghazab HaiIss Aas Pe Zinda Hoon Dekhoon Tera Sehra

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.