Al-ajal ya imaam..(4)Al-ajal, al-ajal ya imam-e-zamaanAl-ajal, al-ajal ya imam-e-zamaan al-ajal..(2)As-salam-o-alaika ya sahib-az-zamaa..Tera hai intezaar aaja, ya imaamZehra ke pursadaar aaja, ya imaamWaris-e-zulfiqaar aaja, ya imaamAl-ajal ya imamAajaiye bus aap ka hi intezaar hai, intezaar haiIs daur ka ilaaj faqad zulfiqaar hai, zulfiqaar haiBehre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)Behre inteqam-e-khoon-e-husainAye gul-e-narjis biya biya..(2)Aisa ho ek ashura, kaabe me majlis ho barpaTu mimbar pe jalwa numa, tu padhe majlis hum nauhaTere bina ho kese khwaab ye puraKabe se nikle juloos-e-ashuraAe ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, aehujjat-e-khudaBehre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)Behre inteqam-e-khoon-e-husain, hussain hussain hussainAye gul-e-narjis biya biya..(4)Tu hai farzand-e-zehra todke sadiyo ka pehraTu hi jiska waris hai kabe tu wo alam lehraHum hi nahi hai azadaar hai tub hiTera alam hai alamdaar hai tub hiAe ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, aehujjat-e-khudaBehre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)Behre inteqam-e-khoon-e-hussain, hussain hussain hussainAye gul-e-narjis biya biya..(6)Saath tere ye ehl-e-aza jaaye shaam aur karbobalaQabr-e-shahedeen par jaakar de tujhe tere jadd kar pursaAisa banaye waha matami halqaJis me ali bhi ho, hasan bhi aur MustafaAe ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, aehujjat-e-khudaBehre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)Behre inteqam-e-khoon-e-hussain, hussain hussain hussainAye gul-e-narjis biya biya..(6)Qaatilan-e-sheh ko mita de, saara jahaa milkar ye sadaa deSayyad-us-shohada, hussain hussainMazloom-e-karbala, hussain hussainWaris-ul-ambiya, hussain hussainAe ibn-e-sayyada, hussain hussainSaare zamane me yahigunje ek naara, hussain hussainAye gul-e-narjis biya biya..(6)Aap hi qaaed ho hamare, farsh-e-aza pe har dil ye pukareSayyad-us-shohada, hussain hussainMazloom-e-karbala, hussain hussainWaris-ul-ambiya, hussain hussainAe ibn-e-sayyada, hussain hussainMasjid me bhi, mandir me bhi , gunje ek naara, hussainhussainAye gul-e-narjis biya biya..(6)Ye jahaa bhool na jae kahi karbobala, al madad yaimam-e-zamaaJa bajaa dekhe nigaahe yuhi farsh-e-aza, al-madad yaimam-e-zamaaKaun hai waris-e- farsh-e-aza maulaKise bulae tere siwaa..(2)Aye gul-e-narjis biya biya..(6)Marqad-e-khair-un-nisa pet u roza bana, al madad yaimam-e-zamaaZulm ki zadd pe hai roza bibi zainab ka, al madad yaimam-e-zamaaJab likha tujhko ariza yahi baat likhiKise bulae tere siwaa..(2)Aye gul-e-narjis biya biya..(2)Haay..Manzar ye padhke aaj bhi hote hai dil figaarBaithe hue hai aap musalle pe ashkbaarDeodi pe zuljanaah ho alam bhi hai sogwaarPehlu me zulfiqaar hai chalne ko beqaraar, chalne kobeqaraarWirde zabaa haiziyarat-e-naahiya baar baarHaay..Ho salaam unpe ke jin laasho ko paamaal kiyaHo salaam uspe dame qatl jo pyaasa hi rahaHo salaam uspe ke paikar se chhida jiska galaHo salaam uspe jo tukdo me bata wa wailaJiska laasha mehroom-e-kafan uspe salaamJiska loota gaya ek din me chaman uspe salaamHussain maula hussain maula..(3)Haay..Jiske seene me hai barchi ki ani usko salaamJo tha hamshakl-e-rasool-e-madani usko salaamAag jis bibi ke daaman me lagi usko salaamNauke naiza se rida jiski chini usko salaamJinke baazu hue paband-e-rasan unpe salaamJinke zakhmi hue durro se badan unpe salaamHussain maula hussain maula..(3)Sad alwida hussaina, hussain hussain hussainaYa hasrata hussaina, hussain hussain hussainaWa ghurbata hussaina, hussain hussain hussainaAe bekhata hussaina, hussain hussain hussainaBus taziyana harjaa, , hussain hussain hussainaHaay Pehlu-e-bint-e-zehra, hussain hussain hussainaHussain maula hussain maula hussainBekas, Ghareeb, Shaheed, pyasa.Hussain hussain hussain..
Aye gul-e-narjis biya biya
Irfan Haider · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.