Aye mere nana dine khuda ko bacha ke aayi hunBala ke ban me kamayi maa'n ki luta ke aayi hunNana kaho to haal sunaye tmko ye dukhiyaDashte bala me lasha pada tha god ke paalon kaGham bhi manane diya gaya na maaon ko wa wailaZulm ki had ye ho gayi nana rone pe tha pahraCharo taraf the zulm ke bani koi na tha apnaGhar ko luta or jangal ko basa ke aayi hunIbne hasan pamal hua tha zinda maqtal meOr kaleja akbar ka tha barchhi ke phal meAsghar ka khu'n ab bhi laga hai maa'n ke anchal meZulm hua hai nana ham par aisa jangal meSuraj ne bhi ankh chhupa li apni badal meNana kitne sadme dil par utha ke aayi hunIn aankhon se kya kya manzar dekha zainab neKhun me duba bhai ka paikar dekha zainab neKhushk gale pr shimr ka khanjar dekha zainab neBhai ko pamali ki zad par dekha zainab neNoke sina par bhai ka sar dekha zainab neKaise manazir in aankhon me chhipa ke aayi hun11 muharram ko aye nana aesi qayamat thiZulm ke bani charo taraf the or na tha koiBhai tha be goro kafan or ahle haram qaidiKaise bataun nana jo thi halat abid kiHanth me rasha aankh me aansu chehre par zardiMaut ke panje se main usko chhurda ke aayi hunBhuli nahi mqin karbobala ke dardo alam ab bhiAankhon me mahfuz hai mere shaame gham ab bhiNana mere zakhmi hain abid ke qadam ab bhiTauq gira'n ke sabab se uski pusht hai kham ab bhiSath liye hun sare nishan e zulm o sitam abhiKya kahun nana kitne durre kha ke aayi hunQabre payambar kanp uthi zainab ki sadaon seAane lagi thi giriye ki awaz fizaon serauza nabi ka gunj utha fariyad se aanhon seAshk gire be sakhta har bibi ki nigahon seJab ye kaha zainab ne aye nana teri duaon seBhai ka chehlum karbobala me mana ke aayi hunEk bala ka hashr bapa tha rauze pr asgharKoi sina pit raha tha koi apna sarRote the sab bain ali ki beti ke sun karKaise bataun dagh liye hain kitne sine parZainab to aayi hai nana sath nahi sarwarSar jab sabke mile hain to dafna ke aayi hun
AYE MERE NANA DEENE KHUDA KO BACHA KE AAYI HUN |Shabih Gopalpuri | New Noha 2026
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.