Aye shehre madina..(3)jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainabAye shehre madina...Abid ko kisi tarha bacha layi hai zainabAye shehre madina...jangal mein bhare ghar ko....1. Na qasim o akbar rahe bhai bhi sidharesab hi gaye maare..(2)begor unhe dasht mein chhod aayi hai zainabAye shehre madina...2. Haye wo shaame ghareeba ho ya ho shaam ka bazaaraabid rahe lachaar..(2)sab zakhm isi qalb mein bhar laayi hai zainabAye shehre madina...3. Kya kya na sitam raah mein sadaat ne jhelamai tujhse kahu kya..(2)baaghi ki bahan shaam mein kehlayi hai zainabAye shehre madina...4. Parda jo sikhati rahi wo bibi khule sarphirti rahi dar dar..(2)bazaaro mein darbaaro mein ho aayi hai zainabAye shehre madina...5. Aaja tu kanizi mein meri bola sitamgaraye shaah ki dukhtar..(2)ye lamha wahi tha jahan ghabrai hai zainabAye shehre madina...6. Zindaa'n mein kahin kho gaya bhai ka nageenamasoom sakina..(2)do baaliya zindaan se le aayi hai zainabAye shehre madina...7. Zindaa'n se reha hoke bhi baaqi hai aseerimaatam kare tu bhi..(2)rassi ke nishaa'n isliye le aayi hai zainabAye shehre madina...8. Ye zakhm mere qalb ka jeene nahi degahai zulm hi aisa..(2)shabbir sare dasht hai ghar aayi hai zainabAye shehre madina...9. Puchegi yehi fatima sughra abhi mujhseakbar nahi aaye..(2)dukhiya ke sawaalo se hi ghabrai hai zainabAye shehre madina...jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainabAye shehre madina...(3)
Aye shehre madina
Farhan · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.