Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye Soogwaro Aho Buka Ka Mukham Hai

Miscellaneous · 2014

Ay soogwaro aho buka ka mukham haiAb rukhsathe Hussain alehis salam haiMehman tumhara jatha hai jo tashna kam haiSar peeto qakh orao ke matham tamam hai - twice (jawab)Ab wo sadaye haye Hussaina na ayegiGhar mai tumhare Fatima Zehra na ayegi - twice (jawab)2)     Ay shahe karbala teri qidmath na hosakiAy kushthaye jafa teri qidmath na hosakiAy jane Fatime teri qidmath na hosakiMehmane nainawa teri qidmath na hosaki - twice (jawab)Ji bhar ke rosake na ye gardish naseeb kiMajlis ye akhri hai Hussaine qareeb ki - twice (jawab)3)     Agle baras Hussain moharrum me ayengeBaqi rahi hayath tho ye gam manayengeAur Fatime ke lalpe ansoo bahayengeGar margaye tho qabar me ham qakh odayenge - twice (jawab)Tayaar qafela hai shehay mashrekain kaLo karbala ko jatha hai kunba Hussain ka - twice (jawab)4)     Bechain Fatima hai na ansoo bahao tumMai jaraha heon roke na mujhko rolao tumZehmath no ho tho meri ziyarath ko aao tumTurbath pe ake ashko ki chadar chadao tum - twice (jawab)Mehman jo karbala me mere paas ayengeOnsabki peshwayi ko Abbas ayenge - twice (jawab)5)     Lo alwida hotha hai rukhsath ye tashna kaamTum rorahe ho mahe mohurram se subho shaamKosar pe apne hath se doonga main bharke jaamRukhsath Hussain hotha hai tumpar mera salam - twice (jawab)Dono jahan me kush raho aur shaad tum rahoAma dovayen dethi hai abad tum raho - twice (jawab)6)     Tum qushnaseeb ho tumhe ye martaba milaZehra bhi tumme baitke rothi hai ek jaKehthi hai mere bache pe karthe haiye bokaMujhse na hoga inka kabhi shukriya ada - twice (jawab)Ehsaan na taba hashre bholayegi FatimaJanath me tumse pehle na jayegi Fatima - twice (jawab)7)     Haan ashakho Hussain ke aho buka karoZehra ka sath do madade mustafa karoHaqkhe mohabathe shehay bekas ada karoAb kooch hai Hussain ka mehshar bapa karo - twice (jawab)Lo ab vida keejiyo ale rasool koDo akhri Hussain ka pursa Batool ko - twice (jawab)8)     Ay tashnakaam bekaso nakaam alwidaAy mubtelaye hasratho alaam alwidaAy bekafan Ali ke gulandaam alwidaMazboha taig shumre badanjaam alwida - twice (jawab)Mazlumiyath pe apki jan apni khoyengeJabtak hai zinda apke matham me royenge - twice (jawab)9)     Ay shahe karbalaye moallah salam loHam bekason ke waliyo moula salam loAkha salam lo shehay wala salam loAy Fatima ke chaand hamara salam lo - twice (jawab)Rukhsath ye akhri hai dilafgar ayen hainMaula salam lo ye azadaar aye hain - twice (jawab)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.