Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye Wallah

Meesum Abbas · 2020

Dashte Karbala Mai Kehti Thi Zehra... Aye Wallah... Wallah... Aye WallahEk Din Mai Mera Ghar Ujar GayaEk musafir he teen din ka pyasaSabr ka khuda he deen ka asaasaFauj sab qatl huwi... Haye Hussaina!Karbala rone lagi... Haye Hussaina!Choor he thakkan se, gowd ka paala... Aye WallahJa baja parey hein aqraba ke laasheHai badan kisi ka, haath hein kisi keBe kafan laash sabhi... Haye Hussaina!Ye zameen tapti huwi... Haye Hussaina!Phir bhi bachpane ka waada nibhaya... Aye WallahKaise dediye ye imtehaan betaEk javaan bhai, ek javaan betaSab tujhe chhor gaye... Haye Hussaina!Dil tera tor gaye... Haye Hussaina!Hausala barhane aa gaye Baba... Aye WallahKhaak par Sakina kar rahi thi nauhaAyi-ye Najaf se ab madad ko dadaAyi Haidar ki sada... Haye Hussaina!Teri himmat pe fida... Haye Hussaina!Jo na kar saka me, tune kardiya... EyvallahYe zameen e maqtal, khoon ugal rahi heDashte Karbala me kaisi bekasi heDar e Khama pe behan... Haye Hussaina!Hay labon par ye sukhan... Haye Hussaina!Teri musibat par, roye gi dunya... Aey WallahEk naya sitam he ye dil e hazeen parAb he tera laasha, zeen na zameen parWoh tera khushk dahan... Haye Hussaina!Kund khanjar ki chubhhan... Haye Hussaina!Bas tujhe bachane, aa gayi beta... Aey WallahFarshe gham pe Mesum jab parha ye nauhaDil tarap raha tha Mazhar Abidi kaMatami keh-ne lagey... Haye Hussaina!Ashq aankhon se girey... Haye Hussaina!Marsiya mukammal he yahi jumla... Aey Wallah

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.